zindagi mein kyon apni tanhayi si hai
apna koi nahin aur bheedh badi hai
puchhe jab koi kyon ankhe hai gamzada
hanste hue kahte hai ki kirkiri padi hai
ibarat nahin koi jise padh sake hum
dil ki ye deewar to bus sooni khadi hai
har modh pe hai meel ka pathar hansta hua
aur chaurahe pe zindagi udas khadi hai
kab hoga shuru safar iska bhi pata nahin
aur mujhe dekho anjaam ki padi hai
kehte hai hame log apne seene se laga kar
phir kyon khabar apni gairon mein badi hai
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.