Yun to guzar raha hai har ik pal khushi ke sath,
Phir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.
Rishte wafaein dosti sab kuch to pass hai,
Kya baat hai pata nahi, dil kyun udass hai,
Har lamha hai haseen, nayi dilkashi ke sath
Phir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.
Chahat bhi hai sukun bhi hai, dilbari bhi hai,
Aankhon mein khawab bhi hai, labon par hasin bhihai
Dil ko nahi hai koi shikayat , kisi ke sath
Phir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.
Yun to guzar raha hai har ik pal khushi ke sath,
Phir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.
Socha tha jaisa waisa hi jivan to hai magar,
ab aur kis talash mein bechain hia nazar,
Kudrat bhi meharbaan hai dariyadillli ke sath,
Fhir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.
Yun to guzar raha hai har ik pal khushi ke sath,
Fhir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.
Comments 6
really very nice gazal zindgi bhi kuch iss traha hai. very nice..its touched my heart.
very nice..its really touched my heart….:)
carry on in ur creating new poem
Nahin jaan ab bhla humara aur tmhara kya mokabala hum thehre na cheez tum to woh sitara ho jise hum sirt dekh sakte hain chho nahin sakte
oye jaan
tu mujhe shayar kahta hia tu to puri gazal hai 🙂
beautiful bohat pyari ghazal hai itna kahon ga aap say
ke
Har jhapkne wali aankh haya daar nahin hoti
kyuon ke woh
bhed chopane ko bhi jhokti hai aur sharmindgi ki waja say bhi jhokti hai,
Har har bhegney wali aankh ghamzda nahin hoti
kyuon ke woh
pachhtavey say bhi bhegti hai aur khushi ke aalm mein bhi bhegtii hai
har band hone walii ankh purskoon nahin hoti
kyuon ke woh
neend say bhi band hoti hai aur dard chhoopane ke liye bhi band hoti hai
aur eishee trha
har zindgi mukmal nahin hoti
kyuon ke znidgi
sirf paney ka nahin kuch khone ka bhi naam hai
this is really nice fantastic……….
keep it up
looking forward 4 more