Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai..

dream abt

Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai
Terey barey main sochtey rehna acha lagta hai .
Kabhi phulon main ,kabhi kaliyon main
Tujh ko hi dhundtey rehna acha lagta hai
Meree zindagi ki khushiyan tumhee say hain wabasta
Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai
Hamarey darmiyan hai sadiyon ka fasla
Kuch is tarhan guftugu karna acha lagta hai
Tumhrey baghir zindagi ka koi tasavur nahi hai
Kuch is tarhan tumhari tamanna karna achha lagta hai
Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai..

RelatedPosts

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 24

  1. Harshit says:

    Har kisi ki ajeeb kahani hain, Chup rahna bhi pyar ki nishani hain,
    Zakhm nahi fir bhi kyun dard ka ehsas hain, Lagta hain dil ka 1 tukra aaj bhi aapke paas hain.

  2. Neha says:

    Mohabat sabko mil jaye jaruri to nhi,
    wo bhi hame chahe jaruri to nhi, kuch log bahut yaad aate hai humko,hum bhi unki yaad ban jaaye jaruri to nhi.

  3. Neha says:

    Na mile kisika sath to hame yad krna.Tanhai ho to mehsus hame krna,khushiya batne ko to hazaro milenge, kabhi gum batna ho to hame yad Karna.

  4. Neha says:

    Chand ek hai lakho taro ke liye, lakho tare hai ek chand ke liye,hamare jaise lakho honge aap ke liye,par aap lakho me ek hai hamare liye.

  5. Neha says:

    Kuch rishte anjane mein ho jate hai, Pehle dil phir zindagi se jud jate hain, Kehte hai uss daur ko dosti, Jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai.

  6. Neha says:

    Wo mud mud ka hame dekh raha tha aur ham unaha kyu ki na unha exam ma kuch ata tha na hame.

  7. Neha says:

    N- Nav,
    A- Aarti,
    V- Vandna,
    R- Roshni,
    A- Aaradhana,
    T- Tez,
    R- Raksha karne Waali
    A- Ambey Ma Apki Mnokamnaye Puri Karen. Happy Navratri,
    “Jai Mata D”

  8. Shekhar says:

    Vada to kar lete hai Nibhana Bhul Jate Hai

    Laga k Aag Seene Me Bujhana Bhul Jate hai.

    Bhulana To Aadat ho gayee hai logo ki.

    Rulate hai phir manana bhul jate hai.

  9. Manan says:

    Ghar se wo naqab me nikali,
    sari gali unki firaq me nikali,
    Jo inkar karti thi humari mohhabat se.
    humari hi taswir uski kitab se nikali..

  10. MITU says:

    JAB_ JAB_ TUM_ MARE_ SAMNA_ HOTE_ HAI_

    ___TO___

    MARE_ SAMNA_ KUCH_ OR_ NUZAR_ NAHI_ YATE_ HAI_

    ” (¯`*•.¸♥~MITU~ ♥¸.•*´¯) “

  11. MITU says:

    PIYAR TO PIYAR HOTE HAI

    BAS OSA SAMAJ NA KA LIYA AK DILL HONA JORORI HOTE HA…

  12. Vinod says:

    Har Majburi Se Ladna seekh Lo,
    har Ghum ke saath jeena seekh lo,
    zindagi ko jiyo khushi se hamesha aur dosto ko yaad rakhna seekh lo.

  13. Anil Gautam says:

    (II) Khabhi pyaar dekhna ho to
    meri aankhon mein dekhna.
    Khabhi izhaar dekhna ho to
    meri honto par dekhna.
    Agar meri khubsurat Duniya dekni ho to……………..
    Aaina Dekhna.

    Its only for those believe in love….

  14. SURBHI VERMA FROM, MUZZAFFARPUR says:

    Living in the favorable and unfavorable situation is called Part of living. But, smiling in all those situations is called Art of living.

  15. surbhi says:

    ZEHAN ME TERI YADO K SIWA KUCH v NHI
    DIL ME GUZRI BATO K SIWA KUCH v NHI
    TU JAHA v RAHE SADA KHUSH RAHE
    MERE LUB PR DUAO K SIWA KUCH v nahi

  16. Rakesh Ranjan Sawarni says:

    Khuda bhi aasma se jab jamin par dekhta hoga.

    Khuda bhi aasma se jab jamin par dekhta hoga.

    Is “VICHITRA ITEM” ko kyu banaya sochta hoga..

  17. abhijeet chauhan says:

    Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai
    Terey barey main sochtey rehna acha lagta hai .

    Thanks
    i have to impress a girl dat type of Shayri bhejoo
    i”ll like that

  18. Anand Karvande says:

    ZEHAN ME TERI YAADON K SIWA KUCH BI NAHI
    DIL ME GUZRI BAATON KI SIWA KUCH BI NAHI
    TU JAHAN BI RAHE SADA KHUSH RAHE
    MERE LUB PER DUAON K SIWA KUCH BI NHAI

  19. aman dhiman says:

    most touchy lines ::::
    toote huye dil se kisi ne khub kha he………….”kash ke tum meri mout hoti to ek na ek din to aakhir meri jroor hoti””””””

  20. Mr. All Smiles says:

    Dete hai kyu wo dard bas hami ko?
    kya samjhenge wo in aankho ki nami ko?
    lakho diwane ho jis chand ke
    kya wo mehsus karega ek tare ki kami ko??

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *