Bahon me le lo mujhko ….K tanha hoon main.
Dhadkan me basa lo mujhko ….K tanha hoon main.
Tum nahi jo…Jahan mein kuch bhi nahi,
Mujh me sama jao…k tanha hoon main.
****
Phool ki tarah haste raho …To hum khush hain.
Dil kholkar jiya karo …To hum khush hain.
Ye nahi kehte k hame mila karo, …Bas roz yaad kar liya karo
To hum khush hain.
****
Geele kagaz ki tarah hai zindagi apni,
Koi jalata bhi nahi aur bahata bhi nahi.
Is kadar akele hain raahon me dil ki,
Koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi.
****
Kal raat khuda ne poocha,
‘Tu dosti me itna kyu khoya hai?’
Tab andar se awaaz aayi,
‘Doston ne hi di hain khushiyan,
Pyaar karke to hamesha ye dil roya hai’
****
Log kehte hain ladkiyan
zindagi hoti hain maut nahi.
Magar wo ye kyun bhool jate hain
K dhoka bhi zindagi deti hai,maut nahi.
****
Kya pata kab wo mukam aa jaye,
zindagi ki aakhri sham aa jaye.
Hum to un lamhon ko khojte hain,
Jab ye zindagi aapke kaam aa jaye.
****

Comments 66
you peoples shayaris r really good
Amazing…fantastic…stupendous! Hats off to all these wonderful shayaris. Thank you so much !!!
tumko dekha to haqikat kya hai pata chala,tumhe chaha to dil kya hai pata chala.dhadka ye dil aur dhadkano ka pata chala.har dhadkan ke sath aata tera naam mere juban par,ho kitne khaas tum pata chala,sochte the ki maut ko chahte the hum sabse jyada.maut aur tum ek sath aye jab samne to jindegi se hai kitna pyaar pata chala,jindegi ho sirf tum is baat ka pata chala.jindegi ho dirf tum is baat ka pata chala.
koi khawabon mein yun aata hai
dheme se sapno mein rang bhr jata hai
dil mein hoga dard kitna use samne na pakar,
wo aanjan ye samajh kab paata hai
lafzon mein kaha bhi na jaye,
chup koi rahe to saha na jaye,
Yun hota hai kuch pyar ka aalam ke
dil dard se bhar jaye aur roya bhi na jaye
dil ek panna hai,
ankhein uska aaina hai
ankhon ke aaine mein jo tasbeer utar jati hai,
wo dil ke panne par hamesha ke liye chhap jati hai.
Dil se tadap k ek aah si nikalti hai,dard itna saha hai ki ankh bhi bhar ati hai,
maut ka intejar to har lamha karte hain,
par kambhaqt usne bhi aap se hi dosti nibhayi hai.
Sapno mein roj dekhti hun tumhe,
Chahti hun haqikat ban jaye ,
Haqikat mein jo dekh nahi pati,
dil tadap ke kehta hai ki phir wahi sapna aa jaye.
For my darling husband.
AAP KI SHAYARI KAMAAL HAI I LIKE IT
labon pe aaj unka naam aa gaya,
pyase ke haath mein jaise jaam aa gaya,
dole kadam to gira unki bahon mein jakar,
aaj hamara peena hi hamare kaam aa gaya
bahut kboob
u r right…
yaar..you guys are amazing.. your shayris have actually made me cry..
phele pyar karna nahi jaanti thi.. ab bhoolna nahi janti.. jo bhi kaho…jab pyar koh jaata hai.. toh aisa lagta hai ke zindigi hi chali gayi.. it sucks to be left alone.. app loogo ki shayri bari sahara deythi hai.. thank you
well sonia ji yaha to aksar tute dilo ki mahfil jama karti hia
hum to bas kosish karte hai k koi pyar kare to use woh pyar mile ya koi pyar hi na kare 🙁
labon pe aaj unka naam aa gaya,
pyase ke haath mein jaise jaam aa gaya,
dole kadam to gira unki bahon mein jakar,
aaj hamara peena hi hamare kaam aa gaya.
hi payar kiya to darna kiya
this is awsm
jab koi ek galti kare to voh anjaan
jab voh do galti kare voh nadaan
jab voh teen galti kare voh shaitaan
jab voh galtiyaan pe galtiyaan kare o voh hindustan
aur jo galtiyaan ko baar baar maaf kare voh PAKISTANNNN!!!!!!
THIS IS ON THE BEHALF OF PAKISTANIESS!!
har gira ghungat haya ka nahi hota.
har utha haath dua ka nahi hota,
bhujh jate hai diye aksar hamari hi galtiyon se
har baar kasur hawaon ka nahi hota…
dur se hume salaam kar gaye,
apni yaado ka hume gulaam kar gaye,
kharida tha jise humne apni zindagi girwi rakh kar,
aaj wo hi hume nilaam kar gaye
HAM YAD RAHE TO THEEK WARNA BHULA DENA,
HUYI HO KOI KHATA TO SAJA DENA,
WAISE TO HUM HAI KORE KAGAZ KI TARAH,
LIKHA JAYE TO THEEK WARNA JALA DENA…
thak gaye hum unka intezar karte,karte..roye baar baar khud se takrar karte karte… do lafz be unki zubaan se na nikli.. thak gaye ek tarfaa pyar karte karte…