Hi all,
after a long time posting some shayaris
katl kar ke voh katil ka naam puchte hain,
dard dekar voh dava ka naam puchte hain,
mar gaye hum unki is ada par,
hokar mere khuda vo mere khuda ka naam puchte hain!!!
Har Kisi Se Zyada, Bus Khuda Se Kum,
Hamain Itni Muhabbat Hai Tumse Sanam.
Ab shane Parain Ishq Main Jitne Sitam,
Tumhe Paana Hai Chaahe Jitne Ho Ghum.
Labon Ne Na Bola, Par Is Jahan Ki Kasam,
Agar Hota Jayaz, Pujte Tum Ko Hum.
jab bhi yaad ati hai muskura lete hai,
kuch palo k liye gum bhula lete hai,
kaise bheeg sakte hai aap ke palken,
aap ke hisse ke aansu to hum baha lete hai
Khud ko jalane ka intezaam kar liya
Humne nashe mein aisa kaam kar liya
Shaayad wo khush ho humaari diwangi se
Ye soch kar apne ko jahan mein badnaam kar liyaa
Zindagi se meri mujhe koi shikayat nahi
ha magar dil ki sunai deti koi aahat nahi
suna suna sa hai, berang hai bazaar-e-zindagi,
kya nazaraa hai ki ab maut ko bhi meri chahat nahi
Hota hai ye kyon Dil dil toot jaate hai
chaho jinhe jaan se jyaada wo rooth jaate hai
Sajaate hai badi mehnat se hum khwabon ki duniya
Begaane aate hai aur usko loot jaate hai
Comments 2
Dil bhii bujhaa ho shaam ki
parachhaaiyaan bhi ho
Mar jaaiye jo aise men
tanhaaiyaan bhii ho
…Aankhon kii surKh lahar hai
mauj-e-suparadagii
Ye kyaa zaruur hai ke ab
angarraaiyaan bhi ho
Har husn-e-saadaa lau na dil me.n
utar sakaa
Kuchh to mizaaj-e-yaar me.n
geharaaiyaa.N bhi ho
Duniyaa ke tazakire to Tabiyat hii
le bujhe
Baat us kii ho to phir suKhan
Aaraaiyaan bhi ho
Pahale pahal kaa ishq abhii yaad
hai
Dil Khud ye chaahataa hai ke
Rusvaaiyaa. bhi ho.
Dil hi dil mein Keh detey hai raaz chupane wale,
Ankho ki nami kyun na dekh paye azmane wale,
Dhadakta nahi jo dil woh pathar hi sahi,
zindagi na sahi zamaney ki ibadat hi sahi.
From Aditi to Arindam