Wo Jo Ro Ro Ke Wafao Ke Kasme Khate The
Kya Khabar Thi Wo Kabhi Hans Hans Ke Rula Bi Denge
Kyoun Haath Main Tere Mujhe Pathar Nazar Aya
Deewana Agar Tha To Main Gheron Ke Liye Tha
Ek Baat Kehta Hoon Magar Kehne Se Darta Hoon
Kabhi Mohabbat Thi Tum Se Ab Nafrat Karta Hoon
Aana Meri Qabar Pe Do Phool Charha Dena
Agar Rona Na Aae To Gham Main Thora Muskura Dena
Mere Mehboob Meri Mohabbat Ko Dillagi Na Samajh
Chaha Hain Maine Tuhje Chandani Se Bhar Kar
Yeh Darya-e-Ishq Main Qadam Zara Soch Ke Rakhna
Is Main Utarna Wale Ko Kinara Nahin Milta
Ranjha Bhi Yeh Kehta Tha Ke Ghut Ghut Kar Na Marna
Sab Kuch Karna Yaara Lekin Ishq Kabhi Na Karna
Na Kar Ulfat Ameeron Se Ke Yeh Barbaad Karte Hain
Mohabbat Kar Ghareebon Se Jo Dil Se Pyaar Karte Hain
Na Qalam Main Taqat Hain na Kaghaz Saath Deta Hain
Bas Ek Saans Baqi Hain Jo Aap Ka Naam Leta Hain
Ham Se Hoi Bhool Ke Aap Ke Mehfil Main Aa Bethe
Zameen Ke Khak The Aasmaan Se Dil Laga Bethe
Mere Hamnaseen Mere Aashna Yeh Dua Hain Koi Gila Nahin
Tujhe Zindagi Main Wo Sukoon Mile Jo Mujhe Mila Nahin
Sar Ko Jhukaaoge To Pathar Bi Devta Hojaaega
Mat Use Itna Chahoo Ke Wo Bewafaa Hojaaega
Mil Kar Bhi Ham Mil Na Sake…Kya Mila Pyaar Main
Ham To Bas Wo Phool Hain..Jo Lut Gae Bahaar Main
Mere Janaze Ko Dekhne Saara Jahan Nikla
Magar Wo Na Nikle Jin Ke Liye Mera Janaza Nikla
Ab Ke Ham Bichre To Shaid Khawabon Main Mile
Jis Tara Sookhe Hoowe Phool Kitabon Main Mile
Agar Kuch Thi To Bas Yeh Thi Tamanna Aakhri Apni
Ke Tum Sahil pe Hote Aur Kashti Doobti Apni
Comments 1
shayari is best