Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya,
Lehje Se Uth Raha Tha, Har ik Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha Ke Kuch Ganwa Diya,
Awaz Mein Thihrao Tha, Aankhoon Mein Nami Thi
Aur Keh Raha Tha Ke Mein Ne Sab Kuch Bhula Diya,
Jane Kiya Us Ko, Logon Se Thi Shikayatein
Tanhaiyon Ke Dais Mein Khud Ko Basa Diya,
Khud Bhi Woh Hum Se Bichar Kar, Adhura Sa Ho Gaya
Mujh Ko Bhi itne Logon Mein Tanha Bana Diya,
Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya.
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Comments 2
SAB SE CHHUPA KAR DARD WO JO MUSKURA DIYA
USKI HANSI NE AAJ TO MUJHKO RULA DIYA.
Very much touching shayari..
“Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya.”