Pyaar mein hum Mshoor kya hue – Sms Collection

Pyaar mein hum  Mshoor kya hue,
Har harkat deewangi lagne lagi,
Lafz jo nikle HAAL-E-DIL
Bayaan karne,
Zamane ko har Baat shayri lagne lagi.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

RelatedPosts

Hansi Labon Pe Aur Awaz Mein Khanak Rakhten Hain,
Dil Mein Daba Ke Dard Juban Pe Pyar Rakhten Hain,
Kahin Chalak Jaye Na Aansu Darte Hain Hum,
Isliye Har Waqt Hoton Pe Muskaan Hum Rakhten Hain.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Ek Din Main Bhi Kafan Odh Jaunga,
Harr Ek Rishta Is Jamane Se Tod Jaunga,
Jitna Ji Chahe Sata Lo Mere Yaaron,
Ek Din Rota Hua Sabko Chor Jaunga.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Teri khushi se agar gham me bi khushi na hui, wo zindagi to mohabbat ki zindagi na hui
Idhar se bhi siwa kuch udhar ki majboori, Ki hamne aah to ki unse aah bhi na hui

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Dil ko Dil se Churaya aapne…..
Door hote hue bhi rishta nibhaya aapne….
Kabhi Bhool nahi payenge hum aapko……
kyoki yaad rakhna hi sikhaya aapne

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Zabt Krna Ghum Chupana Ab Zarori Hogya
Rote Rote Muskurana Ab Zarori Hogya
Haath Mera Dekh Kr Yeh Mashwara UsNe Diya
Kuch Lakeron Ko Mitana Ab Zarori Hogya

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Dil Se Tum Yaad Karo Toh Hum Paas Honge.
Aapko Dikhe Na Par Ek Ehsaas Honge.
Shayad Tum Hume Kal Bhool Bhi Jao.
Par Dil Kehta Hain Tum Aaj Bhi Hum Bin Udaas Honge.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

author avatar
Mehul
Dil ne ham se jo kaha, ham ne vaisa hi kiya phir kabhi furasat se sochenge, bura tha ya bhala zindagi khwaab hai...
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 5

  1. Mehul says:

    @neetu Ji…
    I just share SMS Which i Like mostly frm My phone(forwarded sms’s).

  2. neetu says:

    Hansi Labon Pe Aur Awaz Mein Khanak Rakhten Hain,
    Dil Mein Daba Ke Dard Juban Pe Pyar Rakhten Hain,
    Kahin Chalak Jaye Na Aansu Darte Hain Hum,
    Isliye Har Waqt Hoton Pe Muskaan Hum Rakhten Hain.
    this is my sher,which is written by myself inlast year2010,oct.27th.
    aap likhte ho its nice but churate bhi ho its bad.

  3. neetu says:

    mehul,tum likhte achha ho,par kisi ka sher churana achhi baat nahi.
    hansi labon pe awaz me khanak rakte hain,
    ye mera sher hai,tumne apna naam kaise likha

  4. sanjay says:

    jise chaha kash wo hamare hote…
    khwahisho ke bhi koe kinare hote.
    ye soch kar jane se nahi roka unhe…
    door hi kyu jate agar wo hamare hote

  5. pankaj says:

    Tanhai me aksar tmhe yad krte h……aur khud se swal krte h kyu yd krte ho unhe jo tmhe tanhai me chod jate h aur hum kehte h ye tanhai to mere mohabbat ka hissa h jo din rat tmhara ahesas karati h

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *