Khalid
Pyaar ka meetha ehsaas dilaane laga hai tu,
Ab to mujh se mujhi ko churaane laga hai tu.
Teri chahton ka chaaya hai saroor is qadar,
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu.
Veeraan thi yeh zindagi tere aane se pehle,
Khushiyon ke sapne mujhe dikhaane laga hai tu.
Har pal mujhe hota hai bas tera hi ehsaas,
Is qadar meri saanson mein samaane laga hai tu.
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main,
Hoke juda kiyon mjhe azmaane laga hai tu.
Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan,
Ke ban ke saaya saath mere aane laga hai tu.
Naam koi bhi loon to naam aaya tera labon pe,
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu.
Teri yaadon se hi aksar hota hai dil munawwar mera,
Ghul ke saath lahoo ke,nas nas mein samaane laga hai tu.
Jaane kon si dor hai,teri aur kheench le jaati hai,
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu.
Tasuvvar mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhe,
Chorr ke duniya,meri baahon mein samaane laga hai tu.
Yeh to bataa ke kya naam doon iss deewangi ko,
Bechain kar ke har lamha mujhe tadpaane laga hai tu.
Tere khayalon se mehekne lagti hai zindagi meri,
Mere zehn-o-dil pe iss qadar chhaane laga hai tu.
Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri,
mujh ko har adaa se ab sataane laga hai tu.
Zeest ki raahon mein dhoop thi har taraf,
Apne pyaar ki baarish ko barsaane laga hai tu.
Kya iss baat ka tujhe ehsaas hai jaan
Mere har shehr mein har gazal mein aane laga hai tu.(mkm)
=======================================
=======================================
Comments 26
Hi everybody
Hi everybody,
Kanhaiya
Thank you so much for appreciating this shayari
my friend. I am so glad you have enjoyed it !!!
=========================================
khalid.m@hotmail.co.uk
=========================================
WOW! what a lovely shayari…Thank you so much
yahi pyaar hota hain na dost ki har cheez mein hum unhe dhundne lagte hain…har naam lene per unka naam zubaan per aata hain…
absolutely amazing my frd…no one else can explain love better than u….
@Hetal –
hi ! teri bina ye jina adhura hai
sham ane se phela tera intezar hai
intezar khatam hone se phele aa jana