Dil mein basane ki khud ko iski ijazat dedo,
Mujhko tum apna banane ki ijazat dedo.
Tum meri zindagi ki ek haseen lamha ho,
Phoolon se khud ko sajanay ki ijazat dedo.
Main kitna chahta hoon kiss tarha bataoon tumhe,
Mujhe yeh aaj batane ki ijazat dedo,
Tumhari raat si zulfon mein chand sa chehra,
Mujhe yeh sham sajane ki ijazat dedo.
Mujhe qaid kar lo apne ishq mein,
Yeh jaan tum pe lootane ki ijazat dedo.
Mehul
Dil ne ham se jo kaha, ham ne vaisa hi kiya
phir kabhi furasat se sochenge, bura tha ya bhala
zindagi khwaab hai...
Comments 7
Its nice… and i am waiting for more…….
Kal na phir ye samaa hoga, Hum mein se kaun najaane kahaan hoga..? Murjhaaye phool to mil jaenge kitaabon mein, Par bicchde Doston ka shayad hi koi pataa hoga……
Fir Chupke se Yaad Aya Koi… En Hasti Hue Ankho Ko Rula Gaya Koi… Kaha Thi wo chehare Ki Masumiyat… En Nafrat Bhare Dil Ko Mohobbat Sikha Gaya Koi… Fir Chupkese Yaad Aya Koi… `
Waqt guzarta raha, par sansey thami thi, Muskura rahe the hum, Par ankho mein nami thi, Saath hamare ye jahan tha sara, Par na jaane kyun kisi ki kami thi. ~
Ab To Chalte-Chalte Khone Ki Aadat Ho Gyee Hai Unki Yaad Mein Rone Ki Aadat Ho Gyee Hai Is Dil Ne To Unka Chehra Palko Mein Chupa Rakha Hai Shayad Isi Liye Aankhe Khol Kar Sone Ki Aadat Ho…
khalid sahab kamal h aap bhut achcha likhte hai shukriya aziz
HELLO HAIIIIIIIIIIIIIII
Mehul
Bahaut khoob mere dost !!
Really enjoyed it,and Sapna thank
you once again for your comment.
==========================
khalid.m@hotmail.co.uk
==========================
sapna ji Shukriya … 🙂
Khalid Sahab,
Once again very nice one 🙂 Immensely impressed…