Khalid
Meri mohabbat hai woh,koi majboori to nahin.
Woh mujhe chahe,ya mil jaye zaroori to nahin.
Yeh kuch kam hai ke basa hai meri saanson mein.
Woh saamne ho meri aankhon ke zaroori to nahin.
Jaan qurbaan meri,us ki har muskurahat pe.
Chahat ka takaaza hai yahi,aqal-e-khurori to nahin.
Ab to nikal ke aankhon se,yaadon mein ja basa woh.
Yahi hai qurbat-e-chahat,koi doori to nahin.
Us ke gar ki taraf , uthte hi ruk jaate hain kadam.
Badnaami se us ki darta hoon,koi maazoori to nahin.
Kiyon log madhosh hote hain meri mehak se.
Dil ki jalan aur aansouon ka atar hai,mehak-e-kafoori to nahin.
Dair karta hoon har kaam mein,kehte hain dost mere.
Kum aqali hai meri koi shaoori to nahin.
Kiyon sulgaata hai apne aap ko ae Mian.
Dil bhi tera,jaan bhi teri,koi tandoori to nahin.(mkm)
============================================
============================================
Comments 28
chooti si bat pe koi shikwa na karna,koi bhul ho jaye to maf karna,,naraz tab hona jab hum dosti tod denge,kyok aisa tab hoga jub hum duniya chod denge……
jaan se bhi jyada unhe pyaar kiya karte the,, yaad unhe din-rat kiya karteb the,, ab to un rahon se bhi nahi nikla jata,, jaha bethkar unka intzar kiya karte the……….
WA BAHI WA
PATTI PATTI GULAB KYA HOTI,
HAR KALI MAHRKAB KYA HOTI,
JISNE DEKHEY HO LAKH HASINO KO,
USKI NIYAR KHARAB KYA HOTI.
Hi
Hi,
I have opened an emotional bank for you in my heart,Deposit your love and i will make sure that you get heavy intrest as long as i will alive,
PATTI PATTI GULAB HO JAATI,
HAR KALI MAHRKAB HO JATI,
TUNE DALI NA MAHFISA NAJRE,
WARNA SABNAM SRAB HO JAATI.
khalid its A lovely poem that shows your true inner feelings…i loved it its deep..Thank you for sharing huni…But there is something you can do —– tell the one you love with nice sentiments or even poetry like this. Telephone her; text her; write to her; send her little notes, this will bring you close to her and maybe will bring her a little closer to you.
dost har koi itna khushnaseeb nahi hota ki jise hum chahe wo hume mil jaye…haan ager mil jaye to isse badi khushi kya hogi…per kya ye zaruri hain ki wo hume na mile to hum uski shiyakt kare…unki yaadein kya kaafi nahi hoti jeene k liye…sabki apni koi majburi hoti hain hume use samjhne ki koshish karni chahiye…aur dost pyaar sirf paane ka naam nahi hota…kabhi kabhi pyaar khone ka naam bhi hota hain….hope u understand….
miss aap mujhe ek baat bataieye…..aap keh rahi hain pyar pane ka naam nahi hain….kya pyar pane k liye nahi hota? us pyar ka kya matlab jo sath main nahi…?
aksar aisa har kissi ke sath kyun hota hai ki hum jise dil se chahte hai wo hame nahi chahte hai balki hamara majak uda dete hai
hey manoj bura mat manna per main kuch bolna chahungi….ye akser zaruri nahi ki hum jise chahe wo hume mil jaye..hume to bus pyaar karte rehna chahiye…aage ye unki marzi ki wo aapko apna le ya aapka mazzak uda de…per hume apne pyaar ki shikayat nahi karni chahiye…bus umeed rakho ke tumhe mil jayegi..baaki sab uper waale per chor do…
wowwwwww………..such a beautiful shayari u hv written….fabulous n mind blowing…
sms
Khalid i hav no words to say just hav tears in my eyes and i think thats enough to explain what your shayari’s mean…
beautifully written ….
Tamanna
Meri dost,itni jaldi tumhara comment
milega,socha na tha.Bahaut bahaut
shukriya meri dost.Rahi baat aankh mein
aansouon ki,to is se pata chalta hai
keh kitni ehsaas mand ho tum.Kissi ke
dard ko apna samjhna har kissi ke bas
ki baat nahin!
==============================
khalid.m@hotmail.co.uk
==============================
Hussain
Bahi yeh to apni apni samajh ki baat
hai.
Peeta hai koi ashq,bahata hai koi ashq,
Yeh to apne apne zarf-e-mohabbat ki baat hai!
===================================
khalid.m@hotmail.co.uk
===================================
Amarjeet
Thank you Amarjeet for your comment.
So happy that you have enjoyed this
post.Please keep on commenting!!!
==============================
khalid.m@hotmail.co.uk
==============================
zarori hai khalid zarori hai
This is really beautiful shayari
Khalid…
Felt very good reading it…
Yeh line bahut pasand ayi…
“Meri mohabbat hai woh,koi majboori to
nahin..”
*****************************************