Manzil aadmi ki wo aakhri khuwaish hai
jise poora karne per wo samjhta hai ki mujhe meri manzil mil gayee
lekin aadmi ki khuwaish kabhi poori nahi huee
aur na heee wo kabhi apni manzil paa saka
aadmi ki zindigi ki dorr khuwaishon ke daaman se bandhi hai
aur inhi khuwaishon ko poora karte karte
jab wo budhaape ki dehleez per kadam rakhta hai
tab wo thak chuka hota hai
jisse ye saabit hota hai ki aadmi ki khuwaish aakhri wo lafz hai
jo zindigi ke aakhri hisse main ek ilteja bankar aata hai
aur reh jaata hai
aur wo lafz
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.