Maa,Meri Pyari Maa,Tu Chali Gai Mujhe Chor Kar !!! By Khalid
Maa ne mujhe is tarah pala hai
Nakhuda ne kashti ko jaise toofan mein sambhala hai
Meri shararton se jo hansi us ke chehre par aai hai
Yeh saughat baharon ne bhi nahin paai hai
Us ki be-laus mohabbat ka mujh par jo saaya hai
Kisi rishte ne woh mokaam nahin paaya hai
Pakad kar haath mera jo chalna sikhaya hai
Aaj tak aisa rahbar main ne nahin paaya hai
Mere dukh se jo sailaab uski aankh mein aata hai
Samundar bhi us toofan ka taab nahin laata hai
Aashyane mein mere aaj aaram bahaut hai
Maa ke aanchal mein sakoon bahaut hai
Jiske pairon ke neeche jannat hai
Yeh khuda ki,hum sab ko sab se badi nehmat hai
Aa mujh ko phir ik baar seene se laga le maa
Apna chanda,apna suraj,apna raja, in naamo se bula le maa
Bahaut roya hoon main tere aanchal se bichar kar
Phir gud-gudiya karke woh bachpan wali mujhe,hasa le maa
Maa teri gaud ka mujhe woh sahara de de
Bartan mein jo dikhaati thi,woh sitara de de
Maa mujhe suna woh loriyan bachpan ki
Maa mujhe ik baar phir se woh nazara de de
Ban ke rahoon sadda tera laadla main
Teri gaud mein le kar mujhe,yeh jahan saara de de
Teri raahon mein main khud ko rakh doon
Maa mujhe tu khidmat karne ka phir ishara de de (mkm)
==============================================
==============================================
Comments 50
Nazir Raza
Bahaut bahaut shukriya mere bahi apni
raye pesh karne ka.
=========================
khalid.m@hotmail.co.uk
=========================
wah khalid bhai very fantastic very mind blowing kasam se aap ne aisa farmaya hai ki my flashback karne laga yaar
Izz zikr se aap ne maa ko yaad kiya hai,
agar aap ki maa aaj zinda hotey,
Toh hum bhi unhe salaam arz kartey,
Aur unki lambi umr ke liye duwa kartey…….
Sayed Tanzeem
Bahaut bahaut shukriya mere bahi. Aap ki is
tarah maa ki izat karna yaqeenan ye bata raha
hai ke aap apni maa ki bahaut kadar karte hain.
Mere dost sabh ibadtein apni jagah aur maa
ki khidmat apni jagah.Jis ne ye baat samajh li
us ne samjho ke dono jahan pa liye.
==============================
khalid.m@hotmail.co.uk
==============================
Satyendra Kumar
Bahaut bahaut shukriya dost for your contribution.
Ye sach hai ke saare rishte saari muhabtein jhooti
ho sakti hein lekan maa ka pyaar kabhi bhi jhoota
nahin ho sakta.Isi liye to Ooper Wale ne kaha hai
k maa k pairon talle janat hai.
================================
khalid.m@hotmail.co.uk
================================
hi dear…..
yeh aap ne jo notes likha hai ..vo mujhe vehad pasand aaya mujhe kya padhne bale har saks ko pasand aayega kyoki isme sab kuch itna sateek likha hai ..
ki jiski maa nahi hai uske to padhte samay aasu nikal aayege…..
yesa hee mera bhee hai…..
FOR MAAA, WHAT SHOULD I SAY? I AM MISSING SO MUCH FOR MY MOTHER.THANKYOU
“MAA” shabda me kitana pyar chupa hua
hei,,,”deel ko bha gai…
Ch@ndr@
Sumit Arora
Mujhe khushi hai ke tum apni maa ke
aur kareeb ho gaye ho mere dost.Meri
sab se guzarish hai ke jin ke maa baap
zinda hain un ki jitni bhi khidmat
kar sakte ho kar lo yahi moqa hai.
=================================
khalid.m@hotmail.co.uk
=================================
dost, tumne ankhon me aansoo la diye aur ek baar fhir muzhe meri maa ke kareeb kar diya. allah hafiz.
Susheel
Mere dost mere bahi,mere is dard
ko tum ne bhi mehsoos kiya,is ke
liye bahaut hi shukar guzaar hoon
tumhara.
Ooper wala sab ko apne maa baap ki
khidmat karne ki taufeek de(Ameen).
================================
khalid.m@hotmail.co.uk
================================
Mere Bhai!
Ankhon me ansu aa gaye appki ye rachna padh kar!
Tum bahut hi ache insaan ho mere dost!
Bas apni is achai ko kabhi marne mat dena!
God Bless You!
Susheel
Arun
Mere bahi tumhare khyalaat padh kar
bahaut khushi hui.Bahaut bahaut shukriya
mere dost,aur mera bhi sab doston ko yahi
paigham hai ke apne maa baap ki jitni
ziada khidmat hai karlo ! Yeh moqa bar bar
nahin milta,isse haath se jaane mat dein!!
=====================================
khalid.m@hotmail.co.uk
=====================================
dear khalid.bhai tumhari yah poetry bahut hi pyari hai.yaar aaj main isko padh kar rone hi laga tha.nice bhai…
main sab logo se ek baat kahana chahata hu ki maa ka pyar koi bhi nahi de sakta. aur maa ka pyar kya hota hai vah jab maa nahi hoti tabhi pata lagta hai.bhaiyo jindagi main sab kush karna magar apani maa ko kabh takliffe mat pahochaana
Abhishek
Mere dost yeh poetry main ne apni
mom ko dedicate ki hai jo ke April
ki 22 tarikh ko mujhe chor kar doosre
jahan ko chali gaien.Allah unein jannat
ka sab se bada darja ataa karein.Bahaut
hi naik aurat thein meri mom………..
================================
khalid.m@hotmail.co.uk
================================
Bro,
u knw wat i am not able 2 comment on dis…..
bs itna kahunga ki it’s really heart touching n dwn 2 earth.
Amrita
Shukriya dost meri hosla afzai ka.
Haan maa ki bahaut yaad aati hai
darasal jab se woh bimar hui main un ke
aur kareeb ho gya aur pichle 10 saal
se un ka saath pa kar main apne aap
ko bahaut he khush naseeb samjhne
laga.Aur yahi sochta ke main ne jo
bachpan mein pyar miss kiya hai woh
kami ab poori ho gai.Bahrhall ab
yeh judai to sehni padhe gi!!!
==============================
khalid.m@hotmail.co.uk
==============================
its really h3art touchin khalid…..
hi khalid sori 2 h3ar bout ur moma….god unko jannat bakshe….i can understand how u feel, i can understand ur pain….
Jasmine
Thank you Jasmine. So greatfull
for your comment.Also feel happy
that you are enjoying the shayari.
Please keep writing!
==========================
khalid.m@hotmail.co.uk
==========================
Saba
Salaam dost.Haan main apni maa
se bahaut pyar karta hoon,aur Allah
ne mujhe moka bhi diya ke un ke guzarne
se pehle un ki khidmat karne ka.Ab un
ki bahaut yaad aati hai!
==============================
khalid.m@hotmail.co.uk
==============================