Aa bant len sari dard-o-alm kuch tum rakh lo, kuch hum rakh len
Ab ponch lo apne ashk sanam kuch tum rakh lo kuch hum rakh len
Hum saath rahen aur saath chalen, hum saath Jiyen aur sath maren
Is rah-e-wafa pe apne Qadam kuch tum rakh lo kuch hum rakh len
Mana k dukhon se tum ho bhari or hum bhi khali haath nahi
Ye zulm-o-sitam tumhen meri Qasam kuch tum rakh lo, kuch hum rakh len
Be dard zamane wale jo kuch kehte hen so kehne do
Be los tamanaon ka Bharam kuch tum rakh lo, kuch hum rakh len
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Badlaa na apne aap ko jo the vahi rahe
Miltey rahe sabhi se magar ajanabi rahe
Duniyaa na jeet paao to haaro na Khud ko tum
Thori bahut to zahan mein naaraazgi rahe
Apani tarah sabhi ko kisi ki talaash thi
Hum jisake bhi qarib rahe door hi rahe
Guzro jo baagh se to duaa maangte chalo
Jis mein khile hain phool vo Daali hari rahe
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Ye choti si yade bda sila degi,
Gulab ki trh apka chehra khila degi,
Mat bhulna hmari yado ko,
Ye yade khud apko hmse mila degi..
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Nazroon say ager dur hai tu kiya howa
Dharkan ki tarah dil k merey pass bahot hai,,,
Woo raat ki tareeki mein karta hai mujh say baat
Uss ko meri tanhai ka ehsas bahot hai,,,
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~