Kuch Un Ki Wafaon Ne Loota
Kuch Un Ki Inayat Maar Gae,
Hum Raz-E-Mohabat Keh Na Saky
Chup Rehny Ki Aadat Maar Gae,
Dil Ne Bhi Bahut Majboor Kiya
Milne Bhi Lakhon Baar Gaye,
Jee Bhar K Unhein Na Dekh Saky
Aankhon Ki Sharafat Maar Gae,
Wo Kon Hy Jin Ko Jeeny Ka Pegham Mohabat Deti Hai,
Hum Ko Tu Zamane Main Ae Dil Be-Dard Mohabat Maar Gae,
Donon Se Hi Shikayat Hai
Ilzam Ab Kis Pr Lagayen,
Kuch Dil Ne Hamain Barbaad Kiya
Kuch Apni Qismat Maar Gae.
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Comments 6
Tone chaha to haseen halaat badal sakte the .
Mere aansu tere aankho se nikal sakte the .
tune alfaz ki taseer ko parkha hi nahi.
Warna narm lehje se patthar b pigal sakte the.
Lo Heeren ab to plz smile kar do hum sab
dost mil kar keh rahe hain aur doston ki
baat taalte nahin,kiyon Pallavi?
Aur waise bhi agar gham ka mausam hai tau
dost mausam tau badalte rehte hain.Aaj gham
hai tau kal yaqeenan khushi aaye gi… 🙂
=====================================
khalid.m@hotmail.co.uk
=====================================
Tu agar udas hoga to udas hongi mei bhi
Nazar ayu ya na ayu tere saath hongi mei bhi
pls smile kar de abbbbbb!!!!!!!!!
Hi Khalid,
yar ab to mausam hi gham ka hai,
jise khush rakhne ki khawaish thi use hi ghum diye ja raha hu
Heeren mere dost,itni mayoosi achhi nahin
hoti.
“Gham na kar ‘ghar hai baadal ghanaira
Kis ke roke ruka hai sawera?”
==================================
khalid.m@hotmail.co.uk
==================================
Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain
Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri
Yeh Aik Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain