Kho Gya Jo Ussay Dhoond Ke Laaoon Kaisay !!!

faraz shayari

faraz shayari

Kho Gya Jo Ussay Dhoond K Laaoon Kaisay
Laapaton Ka Pata Sabko Bataoon Kaisay

RelatedPosts

Woh Tou Kehta Hai Chalo Saath Saffar Kartay Hain
Saath Chalta Hoon Magar Saath Nibhaoon Kaisay

Meray Alfaaz Mein Woh Apni Ghazal Kaisay Kahay?
Apni Aankhon Se Ussay Khwab Dikhaoon Kaisay

Woh Jo Hota Tou Har Roz Jashan Sa Hota
Uske Jaanay Pe Ab Eid Manaoon Kaisay

Tu Meri Yaad Mein Har Roz Chala Aata Hai
Sochta Hoon Main Teri Yaad Mein Aaoon Kaisay

Kab Se Aangan Mein Bahaarein Nahi Aayee Hain
Khushk Phoolon Se Main Ghar Ko Sajaoon Kaisay

Kaisay Beh Jaoon Phir Teri Soch K Dhaaray Mein
Lot Aya Hoon Ab Uss Simt Ko Jaaoon Kaisay

Jhoot Sun-nay Ke Aadi Hain Meray Sheher K Log
Kyun Kahoon Such Aur Unko Rulaaoon Kaisay

Dil Jo Roothay Tou Teri Yaad Mana Leti Thee
Yaad Roothi Hai Ab Isko Manaoon Kaisay (Mkm)

====================================
By Khalid.M@hotmail.Co.Uk
====================================

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 27

  1. kaifiki says:

    Tujhay Bhool Jaon To Kis Tarha?

    Abhi Chahaton Ka Sha’oor Hai,

    Abhi Faslon Mein Saroor Hai,

    Abhi Hoslon Mein Gharoor Hai,

    Tujhay Bhool Jaon To Kis Tarha?

    Abhi soch hai teri zaat tak,
    abì yaad hai teri yaad tak,
    abhi raat hai teri baat tak.

    Tujhey bhool jaon to kis tarha?

    Abhi badgumani gumaan hai.

    Abhi khawahishon mein uraan hai.

    Abhi jism hai,
    abhi jaan hai ,

    Tujhey bhool jaon ta Main kis tarha?

  2. Avtar Singh Rayat says:

    Tujhe yaad karte hein, ALLAH ke naam ke baad,
    Kabhi subhah se pehle, to kabhi shaam ke baad,
    Dil ki diwaron pe, likhte hein naam tera,
    Kabhi fursat mein, to kabhi kaam ke baad.

  3. Avtar Singh Rayat says:

    Meri saanso me ek aahat aapki bhi hai,
    Dil ki dhadkano me gungunahat aapki bhi hai.
    Anjaan hein aap is raaz-e-mohabat se ki,
    Humari hansi me ek muskurahat aapki bhi hai.

  4. khalid says:

    CLJGURU JI

    Aap ne to tareef ke pull bandh diye
    jin ke mein kabil nahi hun,behrhal
    bahaut bahaut shukriya.Umeed karta
    hun ke aap aainda bhi hissa lete
    rahenge.
    =================================
    kabhi bhi ghum ka saya na tere pass aey
    khushi, muskrahat, piyar se tera daman bhar jaey
    mile itni chahat, itni hansi, itni khushi tumhen
    ke unkey beech tu meri koi kami na paey
    =================================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    =================================

  5. CLJGURU says:

    KHALID JI,
    AAPKII SHAYARI KI BAAT TO ALAG HAI HI,LEKIN AAPKI BHI BAAT KUCHH AUR HAI JO AP HER MAIL KAA JABAB KHAAS ALFAAZ MAIN DETE HAIN.

    KRIPYA IS LINE KO BHI POORA KARIYEGA:

    AB NAA KISI NIRDOSH KAA KHOON BAHAYAA JAYE.
    USKE MASOOM BACHCHON KO TAAUMRA SATAYAA JAYE.

  6. khalid says:

    Naresh

    Thank you Naresh for your well wishes

    Khalid

  7. khalid says:

    Hi Dixit

    Realy greatfull for your kind words.
    I am pleased that you have enjoyed
    this poetry.Your comment is very
    encouraging,thanks a lot my friend!!
    ========================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ========================

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *