Kaun hai jo ek saaye ki tarah
Mere dil ko choota hua gujar jata hai
Kabhi pass se , kabhi dur se
Ek aawaaz , ek nagma, ek geet
Banke rag-rag mai utar jata hai
Kabhi pass se , kabhi dur se
Kaun hai jo mujhe apni
Tanhai ka ahsaas dila jata hai
Ek khalipan sunapan chod jata hai
Main use dekhna chahta hoon
Jan na chahta hoon
Ungaliyon se uske chehrey ko choona chahta hoon
Kaun hai
Jo pass rahker bhi mujhse dur hai
Kadmon ki aahat sunta hoon
Palat ta hoon
Use dekhta hoon
Tasveer ban jata hoon
Khud ko bhul jata hoon
Bekhud ho jata hoon !!!
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.