Jab Bhi Kabhi Ghazlon Ko Likhta Hoon …

Jab Bhi Kabhi Ghazlon Ko Likhta Hoon

Qalam Dil Mein Dubota Hoon Chund Lafzon Ko Likhta Hoon
Jo Batein Dilpe Lagti Hain Unhi Baton Ko Likhta Hoon
Mein Shayar Hoon Meri Veeraniyan Jab Hadd Se Barhti Hain
Ussi Lamhe Dhunwan Uthta Hai Aur Aahon Ko Likhta Hoon
Mein Lafzon Ko Nahi Ehsas Ko Tehreer Karta Hoon
Na Ghazlon Ko Na Nazmon Ko Faqat Jazbon Ko Likhta Hoon
Kabhi Tanha Jo Hota Hoon Takhayyul Mein Bhi Rehta Hoon
Purane Dard Ke Lamhe Nayi Sochon Ko Likhta Hoon
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Shab Bhar Jaagta Hoon Mein
Jo Dilse Munsalik Rehti Hain Unn Yaadon Ko Likhta Hoon..
Lahoo Dilse Nikalta Hai Kaleja Moonh Ko Aata Hai
Kisi Ko Kya Khabar Jab Bhi Kabhi Ghazlon Ko Likhta Hoon …

RelatedPosts

author avatar
Mehul
Dil ne ham se jo kaha, ham ne vaisa hi kiya phir kabhi furasat se sochenge, bura tha ya bhala zindagi khwaab hai...
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *