Itne Dosto Mein Bhi Ik Dost Ki Talash Hai Mujhe !!!

Khalid

RelatedPosts

Itne dosto mein bhi ik dost ki talash hai mujhe,
Itne apno mein bhi ik apne ki talash hai mujhe,
Chod aata hai har koi samundar ke beech mujhe,
Ab doob raha hun to ik sahil ki talash hai mujhe,
Liptna chahta hun main in andere ke gamon se,
Isliye ik shama ke ujaale ki talash hai mujhe,
Tang aa chuka hun is bewaqt ki maut se main,
Isliye ik haseen zindgi ki talash hai mujhe,
Diwana hun main sab yahi keh kar chaidate hai mujhe,
Jo mujhe samajh sake us shakhs ki talash hai mujhe .(mkm)
=================================================
khalid.m@hotmail.co.uk
=================================================

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 42

  1. HUSSAIN says:

    SOME MOMENTS NEVER BE PASSED,

    SOME FEELINGS NEVER BE STOLEN,

    SOME MEMORY NEVER BE FORGOTTEN IN MY LIFE………

  2. HUSSAIN says:

    Jeete hain to koi hal tak nahi pochta Faraz, Marte hain to duniya khandoo pa utha leti hai

  3. HUSSAIN says:

    “Kabhi Jo Hum Nahi Hon ge
    Kaho Kisko Batao gi
    Wo Apni Uljhanay Sari
    Wo Bechaini Mei Doobay Pal
    Wo Ankhon Mei Chupay Ansu
    Kisay Phir Tum Dikhao gi
    Kabhi Jo Hum Nahi Hon ge
    Bohat Baychain Ho gi Tum
    Bohat Tanha Reh Jao gi
    Abhi B Tum Nahi Samjhi
    Hamari Un Kahi Batein
    Magar jab Yaad Ain gi
    Bohat Tumko Rulain gi
    Bohat Chaho gi Phir B Tum
    Hamein Na Dhound Pao gi
    Kabhi Jo Hum Nahi Hon ge “

  4. HUSSAIN says:

    Kuch Dost aise hote hain ,
    Jo dil main bas jate hain.
    Jo zindagi ki rahon main ,
    hum se bichar jate hain.
    kuch dost aise hote hain ,
    jo raat main yaad aate hain.
    aur raaton ki tanhaai me rulaate hain ,
    kuch dost aise hote hain ,
    jo phoolon ki tarah hote hain.
    jo khud to chale jate hain,
    per apni mahek chor jate hain.
    kuch dost aise hote hain ,
    jo zindagi tor dete hain.
    per zindagi ki raahon me tanha chor detey hain.
    kuch dost aise hote hain,
    jo chaand ki tarah hote hain ,
    jo daag to bahut rakhte hain per
    khubsurat nazar ate hain.
    kuch dost aise hote hain ,
    jo patthar ka dil rakhte hain ,
    jo shisha-e-dil tor jate hai,,,,,,,,,,,,,,,
    tum…in sub mein anmol ho !!

  5. HUSSAIN says:

    hiiiiiiiiii,
    salam,
    i am huusain from hyderabad
    Kuch Dost aise hote hain ,
    Jo dil main bas jate hain.
    Jo zindagi ki rahon main ,
    hum se bichar jate hain.
    kuch dost aise hote hain ,
    jo raat main yaad aate hain.
    aur raaton ki tanhaai me rulaate hain ,
    kuch dost aise hote hain ,
    jo phoolon ki tarah hote hain.
    jo khud to chale jate hain,
    per apni mahek chor jate hain.
    kuch dost aise hote hain ,
    jo zindagi tor dete hain.
    per zindagi ki raahon me tanha chor detey hain.
    kuch dost aise hote hain,
    jo chaand ki tarah hote hain ,
    jo daag to bahut rakhte hain per
    khubsurat nazar ate hain.
    kuch dost aise hote hain ,
    jo patthar ka dil rakhte hain ,
    jo shisha-e-dil tor jate hai,,,,,,,,,,,,,,,
    tum…in sub mein anmol ho !!

  6. khalid says:

    Ashish Jangir

    Mere pyare se dost bahaut bahaut
    shukriya comment likhne ka.Yeh
    bhi jaan kar khushi hui ke tumein
    bhi shayari pasand hai lekan mere
    dost aik baat kahoon? tum abhi apni
    studies pe dhyan do shayari waghaira
    to hoti rahe gi.
    Rahi baat dosti karne ki to yahan
    hum sab he tumhare dost hain.Kabhi
    bhi zaroorat padhe to tum keh sakte
    ho.
    Haan pyar ke moaamle mein tumhari
    koi madad nahin kar sakta lekan
    rai yahi hai ke bas intezaar karo
    koi na koi mil he jaye ga!!!
    ============================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ============================

  7. ashish jangir says:

    aap bahut accha likhte ho, meri age 19 years hai aur main bbaII year ka student hoon. mujhe bhi shayari likhna pasand hai. but mujhe ek aise dost ki talash hai jo mera khayal rakh sake. i want love. i hope that you will do some thing fore me!!!!!!!!

  8. Nia says:

    Khalid
    kho gaya jo usey dhoond k laaoon kaise
    laapaton ka pata sabko bataoon kaise

    woh toh kehti hai chalo saath safar karte hain
    saath chalta hoon magar saath nibhaoon kaise

    meray alfaaz mein woh apni ghazal kaise kahein?
    apni aankhon se ussey khwab dikhaoon kaise

    woh jo hoti toh har roz jashan sa hota
    uske jaane pe ab eid manaoon kaise

    tu meri yaad mein har roz chali aati hai
    sochta hoon main teri yaad mein aaoon kaise

    kab se aangan mein bahaarein nahi aayee hain
    khushi k phoolon se main ghar ko sajaoon kaise

    jhoot sun-nay ke aadi hain mere sheher k log
    kyun kahoon such aur unko rulaaoon kaise

    dil jo roothay toh teri yaad mana leti thi
    yaad roothi hai ab isko manaoon kaise

    i liked this site very much…

  9. rakesh.gorai says:

    happy birth day

  10. rakesh.gorai says:

    mera dost mera dusman baan jaya

  11. Amarjeet Kaur says:

    Dosti koi farz nahi ,ek rishta hai yeh…
    Rishte jo khoon se nahi..dil se bande hai…
    Dil jo kuch pal ko miley..miley zindagi bhar k liye…
    Ek zindagi kabhi poori nahi hundi,
    Ek aziz dost k liye…
    *************************************************

  12. khalid says:

    Avtar ji

    Bahut khoob,bahut acche khayal
    hain aap ke dosti ke baare main.
    ======================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ======================

  13. khalid says:

    Avtar ji

    Aap ki barhi mehrbani ke aap ne
    iss post ko pasand kiya.Dosti ke
    baare mein aap ka kya khyal hai?
    ======================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ======================

  14. Amarjeet Kaur says:

    Haan Khalid……sei hai

    k ache dost milan naal naseeb aape ban jande ne…..

    really true……
    bejaan zindagi mein phir se jaan bhar dinde ne…..

    sometimes it changes our whole life……
    puts us in a new perspective……
    gives us hope……
    n the will to carry on living…….

    I will only say this …….
    that there is nothing more beautiful than a good friendship…..

    It shows that part of life we never knew could exist…..
    It brings out the best in us……

    Good friends certainly make life worth living!!!!!!!!

  15. khalid says:

    Amarjeet

    Tuhada dhanwaad ke tussi iss nu
    pasand kita.Haan eh sach hai ke
    achhe dost naseeba nal hi milde
    ne,ya eh kahiye ke achhe dost
    milan de nal naseeb aape ban
    jaande ne!!!Ki khyal ae?
    By the way tuhadi shayari da vi
    te jawaab nahin.Punjabi SMS de
    vich saare tussi hi chhaye ho.
    Well done to you and thanks for
    everything!
    =====================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    =====================

  16. Avtar Singh Rayat says:

    Thanks for reply Khalid G,
    DOSTI KE ALAG-ALAG ANDAZ HEIN
    KHALID G jo ki is tareh se vaiyan
    karte hein:::

    Dosti acchhi ho to rang laati hai,
    Gehri ho to sabh ko bhaati hai,
    Naadaan ho to toot jaato hai.
    Jo saari umar rulaati hai,
    ************************
    Zindagi mein tufaano ka saahil hai dosti,
    Dil ke armaano ki manzil hai dosti,
    Zindgai ban jaati hai zannat se bhi opar,
    Agar..Maut tak nibhaaye koyi dosti.
    ************************
    Dosti to sirf ak itefaaq hai,
    Ye to do dilo’n ki mulaqaat hai,
    Dosti nahi dekhti din hai ke raat hai…
    Bas dosti usi ki rehti hai.
    Jis mein wafadaari ke jazbaat hai…
    **********************

  17. Amarjeet Kaur says:

    Very well written…………
    beautiful poetry……

    Ache dost to kismat se hi milte hai…….

    Love reading all your posting…….
    simply superb…..
    ***********************************

  18. Avtar Singh Rayat says:

    Veri Nice Khalid ji..
    Chalna padta hai raaste ki dhool ban ke,
    Jab apne hi thukrate hein..
    Zindagi ki tanhaa rahon pe..
    Tab saaye bhi chhod jaate hein,

  19. khalid says:

    Thank you Sweet,

    for your kind words.Its very sweet
    of you!Bahut accha laga ke aapne
    isse pasand kiya.
    ======================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ======================

  20. Sweet says:

    Salam Khalid

    bohot acha likha aap ne mujhay bohto acha laga…keep it up…Sweet

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *