Ik Tamanna Thi Jis Ki….!!!

 

Khalid

RelatedPosts

Ik tamanna thi jis ki, woh khwab tum ho,

Hai sitaron ko bhi khabar, mera mehtaab tum ho.

Youn tau kai chehre mile iss zamane mein,

Magar dil ne kaha, nigahon ka aftaab tum ho.

Dekh kar phoulon ko hota hai ye gumaan,

Mast baharon mein khila gulaab tum ho.

Dastaan-e-mohabbat ho, ya koi afsaana-e-dil,

Har bazm-e-yaraan mein, mera khitaab tum ho.

Likha hai main ne, ae dost, alfaaz-e-mohabbat,

Meri ghazal,mere ashaar,meri kitaab tum ho(mkm)

==========================================

khalid.m@hotmail.co.uk

================================

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 31

  1. SWATI says:

    zindgi m kabhi kisi k liye mat rona
    q ki
    bo tumhare ashunyon k kabil nahi hoga
    or jo bhi hoga
    bo tumhe kbhi rone nahi dega

  2. N S says:

    BUHAT KHUB YAR

  3. Ramjaane says:

    Assalamwalaikum khalid bhai
    ap ki shayari mujhe pasand ayi
    duva karte hai ap our acche shayari likhe

  4. Rakesh Singh says:

    Mere Dost Tum Bhi Likha Karo Shayari,
    Tumhara Bhi Meri Tarah Naam Ho Jayega,
    Jab Tum Par Bhi Padenge Ande Aur Tamatar,
    To Shaam Ki Sabzi Ka Intajaam Ho Jayega.

    singh.rakesh2009@indiatimes.com

  5. mahi says:

    hi khalid…
    how are you khalid ? aaj kal aapki nayi post nahi dekh rahe…thodi si fursat apne dosto ke liye bhi nikaal liya kijiyega…rab ji karein ke jald hi aapki nayi post dekhne ko mile aur aap khariyat se ho…rab ji aapko har pal khush rakhein…
    mahi…

  6. Akhil kumar says:

    Hi Khalid ji hw r u,,,

    kisi ne such hi kha h

    Youn tau kai chehre mile iss zamane mein,
    Magar dil ne kaha, nigahon ka aftaab tum ho

    mujhe shayari pdne me bhut mja aata h bhut si shayaris pdi pr u r the best i like u or aapki shayaris bhi u r the best

  7. khalid says:

    Akhil Kumar

    Main Rab ji ke fazal se bilkull theek houn
    mere dost.Comment dene ka aur shayari
    pasand karne ka bahaut shukriya !!
    ==========================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ==========================

  8. Khalid ji,
    Good mornig
    Bahut khub Dost Aaj pahali baar hi aapki shayari padhi hai Vakai me Maja aa gaya behtrin shayari Likhate hai aap ab to aapki shayari ka intjar rahea.

  9. khalid says:

    Dharmendra chaturvedi

    Good Morning mere dost. Bhaut bahaut shukriya
    shayari pasand karne ka aur comment dene ka.
    Agar baki meri shayaries padhna chaho tau
    ooper post ke title ke neeche mere naam par click
    karne se aap ko meri sari posts mil jayein gi.
    ================================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ================================

  10. mahi says:

    hi khalid….
    wish u happy new year in advance..rab ji karein aapki zindagi mein aane wala naya saal dher sari khushian le kar aaye,aur aap sada yun hi achi achi post likhte rahe…..
    kuch lamhe chura lu teri zindagi se,
    kuch fool khile ho aur bicha du teri raah zameen pe…
    jo dil se nikal kar lafz kagaz par utar jaate hain,
    aisa lafz ban kar jud jaau teri zindagi se….
    tere jazbaat jo dil ko sukoon de jaate hain,
    woh jazbaat samjhu main baatein ankahi mein…
    ek ada se tera likhna aur padhne wala fida ho jaaye,
    kuch to baat hai teri shayri mein….
    tu khush rahe aabad rahe yahi dua hai dil ki,
    fool hi fool ho,tu gujre jis gali se….

  11. khalid says:

    Hi Mahi

    Abh kya kahoun dost,mujhe nahin pata tha ke
    meri shayari padhne wale mujh se itna pyaar
    karte hain. Is shayari ke zariye apne jazbaat
    bayan karne ka bahaut bahaut shukriya dost.
    Rab ji tumein bhi aur mere sabhi doston ko
    naye saal mein itni khushi ataa karein ke aap
    sabh se samaiti na jaaye. Aap sabh ki sabhi jaaez
    muradein puri hon. Aur phoolon ke tarah aap ke
    labon par muskan khilti rahe.
    Ye message mere sabhi doston ke liye hai jo mujhe
    hamesha support karte hain aur meri har post ko
    ghaur se padhte hain aur comment karte hain.
    =================================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    =================================

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *