Humesha Muskura K Aansooun Ko Chupaya
Ghum Ko Chupanay Ka Yehi Rasta Nazar Aaya
Kis Kis Ko Batatey Behtey Ashkon Ka Sabab
Kay Derd-e-dil, Dil Main Kis Ne Jagaya
Mehfilon Main Kahin Bhi Maza Na Raha
Rakha Dil Pay Pather To Khud Ko Sajaya
Baat Bay Baat Apni Aahain Daba Ker
Yaron Kay Dermiyan Kis Qadar Muskuraya
Na Thi Chah Kabhi Mujahy Mankashi Ki
Jaam-e-wafa Kisi Bay Wafa Nay Pilaya
Kya Muqadar Say Shikwa Kertey Rahain
Jo Qismat Main Tha Wohi Kuch To Paaya
Yeh Kis Mod Pe Aagaee Hain Umeedain
Kay Saaya-e-manzil Nazar Main Na Aaya
Apnoon Ne Palat Kay Dekha Tak Nahin
Ghairon Ne Aaker Galay Se Lagaaya
Acha Hua Kay Raaz Khul Hi Gaya
Dil-e-nadaan Pay Khanjar Kis Nay Chalaya …………
By – Unknown
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Comments 0
Baat Bay Baat Apni Aahain Daba Ker..
Yaron Kay Dermiyan Kis Qadar Muskuraya..
well said…
*****************************************