Unki Aankhe Hume Apni Zindagi Lagti Hai
Unki Saanse Hume Apni Bandagi Lagti Hai
Ashiqi Mein Unki Humara Haal Kuch Iss Tarah Hua Hai
Ki Ab Toh Unki Nafrat Bhi Humme Mohabbat Si Lagti Hai
Anjaan Hai, Anjaan Hi Rahne Do
Kisi Ki Yaado Me Pal Pal Yun Hi Marne Do
Kyoun Badnaam Karte Ho Humara Naam Leke
Ab Toh Iss Naam Ko Benaam Hi Rahne Do
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Din Ghoote Ghoote, Shamein Dhuaan Dhuaan Ho Gayi
Aur Raatein, Intezar Ki Tere Dastan Ho Gayi
Kahan Se Dhundhkar Layun Sakoon Dil Ka Apne
Zindagi Jab Dard Ki Ek Dastan Ho Gayi
Bewafa Bankar Kaise Jee Lete Hain Log Hanskar
Is Raj Ko Jaan-ne Mein Hi Hasti Fanna Ho Gayi
Main Kab Tak Bharm Mein Rakhun Khud Ko
Duniya Kehne Lagi Ki Tu To Bewafa Ho Gayi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye
Suna Hai Aajkal Vo Humara Naam Tak Bhul Gaye
Kasam Khai Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro
Aaj Wo Humari Lash Par Aana Bhul Gaye
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gharaunde Rait Ke Kabhi Na Banana Yaaro
Dekh Ke Surkh Kamal, Keechad Me Na Jana Yaaro
Mohabaat To Ek Khubsurat Dokha Hai
Bhul Kar K Bhi Ye Dhokha Na Khana Yaaro
Humne To Galti Ye Ki Unse Mohabaat Karke
Ye Galti Tum Na Dohrana Yaaro
Wafa Ka Sila Yoon Bewafayi Se Mila
Kaisa Jakham meine Khaya Hai Yaroo
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Comments 5
Najane kyu rait ki tarah hatho se nikal jate hai log Jinhe hum Zindagi samaj kar kabhi khona nai chahte Enter your email address to subscribe to Hindi Shayari blog and receive notifications of new posts by email.
Mujko khabar bhi hone nahi di
kis mod pe lake dil tu ne toda
apna banana raha dur tu ne
gairo ke ho jaye aisa na chhoda
Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye
Suna Hai Aajkal Vo Humara Naam Tak Bhul Gaye
Kasam Khai Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro
Aaj Wo Humari Lash Par Aana Bhul Gaye
awesome..!!! dude lagte ho sache aashique ho…..
aapke dil ka haal samajta hu….