Hindi Shayari – Do din ke mehmaan ban ke

hindi sms and shayri

 

hindi sms and shayri

RelatedPosts

 

Do Din Ke Mehmaan Ban Ke, Wo Alvida Mujhe Keh Gaye,
Kuch Na Us Se Puchh Sake, Bas Sochte Hi Reh Gaye,
Wo Bhi Gair Mai Bhi Gair, Phir Bhi Kiya Mujhe Keh Gaye,
Dur To Wo Pehle Hi The, Ab Na Jane Kaha Jake Beh Gaye
Hum Baithe The Unki Raho Mai, Kisi Aur Ko Sath Le Gaye
Un Ke Liye Ro Bhi Nahi Sakte, Jate Jate Gair Mujhe Keh Gaye
Ose Vidha Karke Hum, Na Jane Chup Keise Beh Gaye
Afsos Na Hua Ose Jane Ka, Barri Khushi Se “Bye” Keh Gaye
Jaha Bhi Raho Khush Hi Raho, Jannat Tujhe Mubarak Ho
Dost Dost Kehte Kehte, Apni Dosti Bhi Sath Leh Gaye……

author avatar
Mehul
Dil ne ham se jo kaha, ham ne vaisa hi kiya phir kabhi furasat se sochenge, bura tha ya bhala zindagi khwaab hai...
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 16

  1. Promil surya says:

    Very nice line 4 every lover

  2. Bashir Hashim says:

    Never be comments for such a good thing

  3. Bashir Hashim says:

    No comments for such a beautyful things

  4. Door hote gaye tum aur fasle hote gaye
    Hamne sapne sajaye the aur tum torte gaye

  5. Kisi ko meri yaad aaye ek arsa hua,
    Koi hai hairaa koi tarsa hua,
    Is tarah khamosh hai ye dil ye aankhe meri,
    Jaise khamosh ho koi baadal barsa hua…

  6. Ashwani says:

    Na jane unn par itna yakin kyu hota hai,
    Na jane unka khayal bhi itna haseen hota hai,
    Suna hai ki pyar ka dard mitha hota hai,
    Toa iss ankh se nikla pani namkin kyu hota hai…

  7. Ashwani says:

    Lafzo me kya tarif karu aapki,
    Aap lafzo me kaise sama paoge,
    Jub log hamare pyar k bare me puchenge,
    Meri aankho me aye JAANU sirf tum nazar aoge.

  8. Ashwani says:

    Aye dil kinare ko kinara na samajh,
    Aye dil sahare ko sahara na samajh,
    Barish aane par kinare toot jate hain,
    Musibat aane par sahare chooth jate hain…

  9. Ashwani says:

    zakhm itna gehra hain izhaar kya kare
    hum khud nishana ban gaye vaar kya kare
    so gaye hum magar khuli rahi aankhen
    is se zyada unka intzaar kya kare

  10. Ashwani says:

    Nadaani mein hum kisse apna samajh baethe,
    Jo dikhaaya uss Bewafa ne Sapna, hum haqeeqat samajh baethe
    Dekho aaj chod diya hamein, Usne ek Gair ke liye,
    Jisse hum apna Humsafar samajh baethe

  11. ASHWANI says:

    Hathon ki lakiron main kismat hoti hai,
    Milna aur bhool jana logo ki fitrat hoti hai,
    Bikharta to har koi dard mai,
    Magar gum bhulana ensaan ki jarurat hoti hai..

  12. aASHWANI says:

    Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
    Unko pasand thi roshni,
    Aur maine khud ko hi jala diya.

  13. Har zakhm kisi thokar ki meharbani hai,
    Meri zindagi ek-kissa-ek-kahani hai,
    Mita dete is dard ko dil se,
    Par ye dard bhi to kisi ki akhri nishani hai…

  14. Ek hi dua hai meri khuda se
    kisika dil dukhe meri wajah se
    khuda karde kuchh inayat aisy mujh pr
    ki khushiya hi mile sabko meri wajha se……

    khuda karam kare sab per….
    Ashique hussain

  15. ashwani says:

    Bhula kar hame wo khush reh payenge
    sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge
    Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena,
    Hum to seh gaye par wo toot jayenge!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *