Mere Toote Hue Dil Ko, Sahara Kon Dega
Meri Toofaan Me Kashti, Kinara Kon Dega
Yeh Kese Mor Pe Laai Ha Mujko Zindigani
Adhoori See Likhi Gyee Ha Kyun Meri Kahani
Ha Ab Kis Raah Pe Chalna Ishara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega
Main Hoon Our Sath Mere Ab Meri Tanhaayan Hain
Meri Taqdeer Se Mujko Mili Ruswayian Hain
Meri Ankhon Ko Khushion Ka Nazara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega
Hum Ne Pyaar Main Paaya To Kyaa Paya
Kabhi Khud Ro Diye Kabhi Tum Ko Rulaya
Halat-e-ghum Main Beh Gaya Jho Aansoon
Who Zindagi Main Phir Kabhi Na Behne Paya
Saza Mujhe Mili Aur Jaza Unhain Bi
Aisa Bhi Kya Insaaf Me Hai Sir Jhukaya
Himmat Nahee Thi Us Main Saath Mere Dene Ki
Ab Tak Na Jaane Vo Kaise Chal Paya
Kisi Ajnabi Ko Mera Likha Suna Raha Tha Woh
Bikhre Hue Khawabon Ke Purzey Udha Raha Tha Woh
Umr Bhar Pista Raha Who Rishtoon Ki Chaki Mein
Baaqi Rahe Rishtoon Se Daaman Churra Raha Tha Woh
Apni Zidd To Woh Puri Na Kar Saka
Ruthey Huway Bachoon Ko Mana Raha Tha Woh
Sehra Me Khile Phool Ko Bachane Ke Liye
Apne Ashkoon Se Uski Pyaas Mita Raha Tha Woh
Uski Yaadoon Ko Kuch Is Tarah Bhula Raha Tha
Apne Haathoon Apna Likha Mita Raha Tha Woh
Sirf Kirdaar Hi To Badle They Usne
Apni Hi Kahani Suna Raha Tha Woh !!!
Hum Apni Deewangi Se Jaane Jaate Hain
Wo Apni Berukhi Se Pehchaane Jaate Hain
Roz Miltey Hai Lekin, Kuchh Kehte Sunte Nahi
Mere Saamne Wo Meri Dhadkan Badhaane Aate Hain
Shab Bhar Intzaar Mein Hum Taare Dekhaa Karte Hai
Sabera Hone Se Pehle Wo Chand Bujhane Aate Hain
Bas Ek Nazar Ke Liye Hum Din Bhar Taraste Hain
Wo Shaam Ko Gamalon Ko Paani Pilaane Aate Hain
Mere Is Haalaat Pe Hansanaa Nahi Musafir Too
Ishq Main Sabke Saame Aise Zamaane Aate Hain
By Ram Kumar Chandak
Comments 173
Mai Shayar to nahi lekin teri bewfae ne mujhe Shayar bana diya Mai banana chahta tha tere gale ka har lekin tune mujhe pairo ki payal bana diya.mob.8423283128
Chale Woh Kadam Kadam Joh Saath Mere,
Toh Uske Saath Se Pyar Ho Jaiye.
Thame Woh Pyar Se Joh Haath Mera,
Toh Apne Haath Se Pyar Ho Jaiye.
Jis Raat Aaye Khawaboon Mein Woh,
Uss Suhani Raat Se Pyar Ho Jaiye.
Jis Baat Mein Aaye Zikr Uska,
Toh Ussi Baat Se Pyar Ho Jaiye.
Jab Pukare Pyar Se Woh Mera Naam,
Toh Apne Naam Se Hi Pyar Ho Jaiye.
Hota Hai Itna Khubsurat Yeh Pyar Agar,
Toh Kaash Uss Bhi Mere Pyar Se Pyar Ho
नजरों से यों मिलती है नज़रें
रास्ते भी आज कल टकरातें है
हम पडे रहते है यों ही घायल
हाय ! क्या अदा से आप शर्माते है
Pretty section of content. I just stumbled upon your site and in accession capital to say that I get in fact enjoyed account your weblog posts. Any way I?ll be subscribing in your augment and even I fulfillment you get admission to persistently quickly.
lovely
Amazing work,seriously dil ka haal kagaz pe utar diya apne…a big thanks GOD BLESS you.
if it is hindi poem then it should written in hindi only.