Hindi Love Poems Collection

free hindi sms shayari

Mere Toote Hue Dil Ko, Sahara Kon Dega
Meri Toofaan Me Kashti, Kinara Kon Dega

Yeh Kese Mor Pe Laai Ha Mujko Zindigani
Adhoori See Likhi Gyee Ha Kyun Meri Kahani

RelatedPosts

Ha Ab Kis Raah Pe Chalna Ishara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega

Main Hoon Our Sath Mere Ab Meri Tanhaayan Hain
Meri Taqdeer Se Mujko Mili Ruswayian Hain

Meri Ankhon Ko Khushion Ka Nazara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega

Hum Ne Pyaar Main Paaya To Kyaa Paya
Kabhi Khud Ro Diye Kabhi Tum Ko Rulaya
Halat-e-ghum Main Beh Gaya Jho Aansoon
Who Zindagi Main Phir Kabhi Na Behne Paya

Saza Mujhe Mili Aur Jaza Unhain Bi
Aisa Bhi Kya Insaaf Me Hai Sir Jhukaya
Himmat Nahee Thi Us Main Saath Mere Dene Ki
Ab Tak Na Jaane Vo Kaise Chal Paya

Kisi Ajnabi Ko Mera Likha Suna Raha Tha Woh
Bikhre Hue Khawabon Ke Purzey Udha Raha Tha Woh
Umr Bhar Pista Raha Who Rishtoon Ki Chaki Mein
Baaqi Rahe Rishtoon Se Daaman Churra Raha Tha Woh

Apni Zidd To Woh Puri Na Kar Saka
Ruthey Huway Bachoon Ko Mana Raha Tha Woh
Sehra Me Khile Phool Ko Bachane Ke Liye
Apne Ashkoon Se Uski Pyaas Mita Raha Tha Woh

Uski Yaadoon Ko Kuch Is Tarah Bhula Raha Tha
Apne Haathoon Apna Likha Mita Raha Tha Woh
Sirf Kirdaar Hi To Badle They Usne
Apni Hi Kahani Suna Raha Tha Woh !!!

Hum Apni Deewangi Se Jaane Jaate Hain
Wo Apni Berukhi Se Pehchaane Jaate Hain
Roz Miltey Hai Lekin, Kuchh Kehte Sunte Nahi
Mere Saamne Wo Meri Dhadkan Badhaane Aate Hain

Shab Bhar Intzaar Mein Hum Taare Dekhaa Karte Hai
Sabera Hone Se Pehle Wo Chand Bujhane Aate Hain
Bas Ek Nazar Ke Liye Hum Din Bhar Taraste Hain
Wo Shaam Ko Gamalon Ko Paani Pilaane Aate Hain

Mere Is Haalaat Pe Hansanaa Nahi Musafir Too
Ishq Main Sabke Saame Aise Zamaane Aate Hain

By Ram Kumar Chandak

author avatar
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe, Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 173

  1. Nayum khan says:

    Arj kiya h mulahija farmaiye…..
    Dekhna h wo mujh pe mahrban kitna h, asliyat kaha tak h or guman kitna h. Kya pnah deti h or ye jmee mujhko, or abhi mere sar pe aasman kitna h. Kuch khabar nhi aati kis rvish pe h ye tufan, or kata fata baki badbaan kitna h. Tod fod krti h roj khwahishe dil me, tang in makano me ye makan kitna h. Harf e aarzoo sun kar janchne lga yhi, isme bat kitni or byan kitna h . Fir udas kr degi sarsari jhalak uski, bholkar ye dil usko shadman kitna h. Nayum.

  2. sukhdeo singh says:

    I like your poems & shayeri

  3. govind says:

    aadhi se jyada sabegaum(viyog ki raat) kat chuki hai
    abhi aajao to raat baaki hai

  4. dablu singh says:

    FIRST LOVE
    jindagi me ek baar kabhi ye ehashas ho jata hai
    n chahte hue bhi aksar kisi se pyar ho jata hai
    phir har lamha khubshurat har pal khusgwar ho jata hai
    dil to pagal hota hai har tinka sajo kar rakhta hai
    par waqt ki andhi aur kismat ka tufan
    sahil se pehle hi sab kuchh baha kar le jata hai
    aur shayad kisi adhkhile phool ki tarah
    pahla pyar aksar adhura rah jata hai

  5. manoj says:

    adhiktar log gum-e-isq ki shayari kayon karte hain?

    muhobat ka ek aur bhi pahlu hai be-wafai ke alawa….

  6. Raj kr.Sharma says:

    source : hindi poems collection | Hindi Shayari | Shayari Love | Sms Shayari | Hindi Sms Jokes | Romantic Sms Shayari | Love Shayari https://www.love104.org/hindi-poems-collection.html#ixzz1BMkncPKo
    Love104.org

    kuchh aur bhi kehna chahte hai

    Manzilein bhi us ki thi, Rasta bhi us ka tha,
    Ek main akela tha Kaafilaa bhi us ka tha,
    Saath saath chalne ki soch bhi us ki thi,
    Phir rasta badalne ka faisla bhi us ka tha,
    Aaj kyun akela hoon Dil sawal karta hai,
    Log to usi ke the Par kya khuda bhi us ka tha,
    Har raasta bhi us ka tha, har fiasla bhi us ka tha..
    Log bhi usi ke the shayad khuda bhi us ka tha…
    aur kya karon bayan, apni barbadiyon ka aalam..
    ki Jo ab sawal karta hai..ye dil mera bhi to usi ka tha..

  7. sweety says:

    maine khuda se pucha keemat kya hai is duniya mein pyar ki,
    khuda bhi hans kar bola,………………………………………………..
    ansu bhari ankheen aur ek umar intzar ki……………….

  8. DIL TUM RAKHTE HO TO JIGAR HUM BHI RAKHTE HAI
    KATAL TUM KARTE HO TO NAJRE HUM BHI RAKHTE HAI
    KISE WADA KAR CHUKA HASNE HASANE KA WARNA
    DIL ME GAMO KA SAMANDAR HUM BHI RAKHTE HAI

  9. rohan says:

    aitbar to karo magar aitbar k sath , esa na ho ki de de tumhe bhi
    woh apni jeet haar k sath ,

    purane jamane ka kuch esa , dastoor hai , dushman miltey hain pehle
    yaar k sath ,

    aur usne be-wafai se jo mere daman ko bhar dia , uski nafrat bhi li maine bade pyaar k sath ,

    aur mout per bhi jab humne aitbar kiya ,to usne bhi mout di hume bade aitbar ke sath ,

    ROHAN ,

  10. Its Nij….
    yado ko teri jarurat he, dil me tera karra he.
    ankho me tera jalwa he, chehre pe teri ronak he.
    ankho me sirf teri tasvir he…………
    mere kadam tere sath chalne ko bechan he,
    makburiyo se tu majhbur he,
    dil me sirf tera hi chirag he,
    me to kya mera saya b ab tera Gulam he…….But Why Me………….!

  11. jaya says:

    yado m apki yaad thi kya yaad tha kuch yaad nahi , apki yaad m sab kuch bhul gaye, kya bhul gaye kuch yaad nahi , bus yaad ho to aap, kyu yaad ho ye yaad nahi

  12. samridhi says:

    your site is good but boring you can improve it

  13. rim says:

    these are “hind” poems,atleast display them in the “devnagri” lipi!
    its as if you’re appreciating and mocking it at the very same time.

  14. Mehul says:

    @Rim aapke Comment k Liye shukriya..
    sahi Baat hai K Humein Hindi Me likhna Chahiye aur Humne Woh try bhi kiya tha Magar Site Pe woh barobar se Display Nahi ho raha tha..
    Isliye Humne sadharan Tarike Se English Me likhna pasand Kiya

  15. Pushpendra says:

    kuchh aur bhi kehna chahte hai

    Manzilein bhi us ki thi, Rasta bhi us ka tha,
    Ek main akela tha Kaafilaa bhi us ka tha,
    Saath saath chalne ki soch bhi us ki thi,
    Phir rasta badalne ka faisla bhi us ka tha,
    Aaj kyun akela hoon Dil sawal karta hai,
    Log to usi ke the Par kya khuda bhi us ka tha,
    Har raasta bhi us ka tha, har fiasla bhi us ka tha..
    Log bhi usi ke the shayad khuda bhi us ka tha…
    aur kya karon bayan, apni barbadiyon ka aalam..
    ki Jo ab sawal karta hai..ye dil mera bhi to usi ka tha..

  16. Pushpendra says:

    vese to ham aap jesa nahi likh sakte hai par thoda bahut ham bhi kehna chahte hai ki arj kiya hai

    Tere honton Ki Hasi Banane ka Khwab hai,
    Tere Aagosh main Simat Jane Ka Khwab Hai,
    Tu Lakh Bacha Le Daman Ishq Ke Hathon,
    Aasma Ban Kar Tuj Par Cha Jane Ka Khwab Hai,
    Ajmayish Yu To Acchi Nahi Hoti Ishq ki,
    Tu Chahe To Teri Takdir Banane Ka Khwab Hai,
    Wo Maut Bhi Laut Jaye Tere Darwaje Pe Aa Ke,
    Tuj Ko Aisi Zindgi Dene Ka Khwab Hai,
    Jee Bhi Lenge Agar Jina Pade Tera Bina,
    Lakin Tuj Par To Mar Mitne Ka Khwab Hai…

  17. Pushpendra says:

    Teri Taswir meri Ankhon main Basi kyun hai
    Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai
    Teri yadon se wabasta meri takdir hai
    lekin Tujhe na paa kar meri takdir ruthi kyun hai
    Mujh ko hai khabar asan nahin tujhe haasil karna
    phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai
    Barson guzar gaye meray tanhayee main l
    ekin Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

  18. Pushpendra says:

    i really like such types of poems i cann’t express words abt. this veryyyyy…… very very nice

  19. chirag patel says:

    Pl Send Me A Hindi Poam On My Email Id

  20. chirag patel says:

    Gr8……….Really Gr8……………

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *