Mere Toote Hue Dil Ko, Sahara Kon Dega
Meri Toofaan Me Kashti, Kinara Kon Dega
Yeh Kese Mor Pe Laai Ha Mujko Zindigani
Adhoori See Likhi Gyee Ha Kyun Meri Kahani
Ha Ab Kis Raah Pe Chalna Ishara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega
Main Hoon Our Sath Mere Ab Meri Tanhaayan Hain
Meri Taqdeer Se Mujko Mili Ruswayian Hain
Meri Ankhon Ko Khushion Ka Nazara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega
Hum Ne Pyaar Main Paaya To Kyaa Paya
Kabhi Khud Ro Diye Kabhi Tum Ko Rulaya
Halat-e-ghum Main Beh Gaya Jho Aansoon
Who Zindagi Main Phir Kabhi Na Behne Paya
Saza Mujhe Mili Aur Jaza Unhain Bi
Aisa Bhi Kya Insaaf Me Hai Sir Jhukaya
Himmat Nahee Thi Us Main Saath Mere Dene Ki
Ab Tak Na Jaane Vo Kaise Chal Paya
Kisi Ajnabi Ko Mera Likha Suna Raha Tha Woh
Bikhre Hue Khawabon Ke Purzey Udha Raha Tha Woh
Umr Bhar Pista Raha Who Rishtoon Ki Chaki Mein
Baaqi Rahe Rishtoon Se Daaman Churra Raha Tha Woh
Apni Zidd To Woh Puri Na Kar Saka
Ruthey Huway Bachoon Ko Mana Raha Tha Woh
Sehra Me Khile Phool Ko Bachane Ke Liye
Apne Ashkoon Se Uski Pyaas Mita Raha Tha Woh
Uski Yaadoon Ko Kuch Is Tarah Bhula Raha Tha
Apne Haathoon Apna Likha Mita Raha Tha Woh
Sirf Kirdaar Hi To Badle They Usne
Apni Hi Kahani Suna Raha Tha Woh !!!
Hum Apni Deewangi Se Jaane Jaate Hain
Wo Apni Berukhi Se Pehchaane Jaate Hain
Roz Miltey Hai Lekin, Kuchh Kehte Sunte Nahi
Mere Saamne Wo Meri Dhadkan Badhaane Aate Hain
Shab Bhar Intzaar Mein Hum Taare Dekhaa Karte Hai
Sabera Hone Se Pehle Wo Chand Bujhane Aate Hain
Bas Ek Nazar Ke Liye Hum Din Bhar Taraste Hain
Wo Shaam Ko Gamalon Ko Paani Pilaane Aate Hain
Mere Is Haalaat Pe Hansanaa Nahi Musafir Too
Ishq Main Sabke Saame Aise Zamaane Aate Hain
By Ram Kumar Chandak
Comments 173
I Love Hindi Poems. I Read Always Hindi Poem.
Hindi Poem is part of my Life
this is an awesome poem…
I love hindi poems, please share more hindi poetry and poems on the topic of love
very nice
apni yaadon se kaho dur chali jaye woh,
mujko bhi hak hai tumahari tarah jene ka.
sirf mujko hi kyon mil rahi haj saza ,
faisla mohabbat ka tha hum dono ka.
khil rahi hai jo kali chaman me is tarah
khilne do use apne unmand me bahar ki tarah
har pal use muskurata hua lagne lage
kisi baat ki khabar na ho use jis tarah
khil rahi hai jo kali chaman me is tarah
char pal mile hai jo use jine ke liye
jee lene do use us pal ko apni tarah
koi sikwa na sikayat ho use apne se
in mast hawao me lahra lene do sagar ki tarah
khil rahi hai jo kali chaman me is tarah
khilne do use apne unmand me bahar ki tarah
JINDAGI KI BATO KO JINDAGI TAK HI RAHNE DO
KHUSIYA DO PAL KI HAI DO PAL JEE LENE DO
AAJ WAQT HAI TUMAHRE PAAS KUCH KAR GUJRNE KI
KAL WAQT NA HOGA FIR AFSOSH NA KARNA YANHA
JNDAGI PAL BHAR KI HAI MUSKURA LO
KAHTE HAI DUNIYA ME HAR INSAAN KO SAB KUCH NAHI MILTA
AGAR UMMID PE DUNIYA CHLTI HAI TO CHALNE DO
YE TO MAUSAM HAI MAUSAM KI TARAH BADAL JAYEGA
BAS TUM APNE AAP KO IS BADALTE MAUSAM ME BADALNE DO
JINDAGI KI BAATO KO JINDAGI TAK HI RAHNE DO.
Hi Rohit, Aaine nahi Todana. Tute hue dil Aaine nahi todte…YAADON Ko todte hai.
Good poems.
tod diye maine apne ghar k sab aaine , mohabbat mein thukrae log ab mujhse dekhe nahi jate .
Main apni halat pe khud hoon hairan,
Kiyon aansuon main asar nahi.
Tadap raha hoon jiske gam main,
Kiya usko iski khabar nahi hai.
very very nice
fun-taas-tic shayri
well done
nutan ji aap ne bhut accha likha hai
Tere paas aane ko jee chahta hai
Naye zakhm khaanay ko jee chahta hai
Ider aaye shayed who moj e tarannum
Ghazal gungunane ko jee chahta hai
Zamana mera aaznaya hua hai
Tujhe aazmane ko jee chahta hai
Wo bat reh reh k yaad aa rahi hai
Jise bhool jane ko jee chahta hai
Laboun per mere khelta hai tabassum
Jab aansoo bahane ko jee chahta hai
Kayi martuba dil pe bijli giri hai
Magar muskurane ko jee chahta hai
Rukh e zindagi se nikab ulat ker
Hakeekat dikhane ko jee chahta hai
sooooooooooooooooo……..
Sweeeeeeeeeeeeeeeet………
very very nice
very nice
your r very good poets i wish u write always good poems .best of luck anjum.
u rock