Mere Toote Hue Dil Ko, Sahara Kon Dega
Meri Toofaan Me Kashti, Kinara Kon Dega
Yeh Kese Mor Pe Laai Ha Mujko Zindigani
Adhoori See Likhi Gyee Ha Kyun Meri Kahani
Ha Ab Kis Raah Pe Chalna Ishara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega
Main Hoon Our Sath Mere Ab Meri Tanhaayan Hain
Meri Taqdeer Se Mujko Mili Ruswayian Hain
Meri Ankhon Ko Khushion Ka Nazara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega
Hum Ne Pyaar Main Paaya To Kyaa Paya
Kabhi Khud Ro Diye Kabhi Tum Ko Rulaya
Halat-e-ghum Main Beh Gaya Jho Aansoon
Who Zindagi Main Phir Kabhi Na Behne Paya
Saza Mujhe Mili Aur Jaza Unhain Bi
Aisa Bhi Kya Insaaf Me Hai Sir Jhukaya
Himmat Nahee Thi Us Main Saath Mere Dene Ki
Ab Tak Na Jaane Vo Kaise Chal Paya
Kisi Ajnabi Ko Mera Likha Suna Raha Tha Woh
Bikhre Hue Khawabon Ke Purzey Udha Raha Tha Woh
Umr Bhar Pista Raha Who Rishtoon Ki Chaki Mein
Baaqi Rahe Rishtoon Se Daaman Churra Raha Tha Woh
Apni Zidd To Woh Puri Na Kar Saka
Ruthey Huway Bachoon Ko Mana Raha Tha Woh
Sehra Me Khile Phool Ko Bachane Ke Liye
Apne Ashkoon Se Uski Pyaas Mita Raha Tha Woh
Uski Yaadoon Ko Kuch Is Tarah Bhula Raha Tha
Apne Haathoon Apna Likha Mita Raha Tha Woh
Sirf Kirdaar Hi To Badle They Usne
Apni Hi Kahani Suna Raha Tha Woh !!!
Hum Apni Deewangi Se Jaane Jaate Hain
Wo Apni Berukhi Se Pehchaane Jaate Hain
Roz Miltey Hai Lekin, Kuchh Kehte Sunte Nahi
Mere Saamne Wo Meri Dhadkan Badhaane Aate Hain
Shab Bhar Intzaar Mein Hum Taare Dekhaa Karte Hai
Sabera Hone Se Pehle Wo Chand Bujhane Aate Hain
Bas Ek Nazar Ke Liye Hum Din Bhar Taraste Hain
Wo Shaam Ko Gamalon Ko Paani Pilaane Aate Hain
Mere Is Haalaat Pe Hansanaa Nahi Musafir Too
Ishq Main Sabke Saame Aise Zamaane Aate Hain
By Ram Kumar Chandak
Comments 173
Hum ne tho kyaa thumse hi piyar janam
Magar thum ne hi tho nehi samja meri khatha
Sanam thujko diya hai yeh apna dil Thumne hi tho nehi kiya usky gadar
Banayatha apna thujko dhekar mera jigar Phir kiyun huwa thu mujse khafa isgadar
Barsose rakkatha thu mujko aasman par
Ek pal mein hi lakar giradhiya zameen par
Humne tho kiya thumse hi pyar janam
Magar kiya kare jab beywafa nikly merisanam
Main samajhta hi raha
Tumhe mera apna!
Aur;
Tumne
Kitna apnapan dikhaya
Tum
Mujhse
Bina kuchh kahe sune
Mujhe chhod kar chali gyi
raj e dil mohobat tumhe bta chuke hai
aage kya hoga jante nahi
par ye jante hai jo bhi hoga
a dost uske bhi razdar tum honge
KOI AUR NAHI!!!
Hum ne tho kyaa thumse hi piyar janam
Magar thum ne hi tho nehi samja meri khatha
Sanam thujko diya hai yeh apna dil Thumne hi tho nehi kiya usky gadar
Banayatha apna thujko dhekar mera jigar Phir kiyun huwa thu mujse khafa isgadar
Barsose rakkatha thu mujko aasman par
Ek pal mein hi lakar giradhiya zameen par
Humne tho kiya thumse hi pyar janam
Magar kiya kare jab beywafa nikly merisanam
Kudha na kare tumhain koi ghum mile,
par khushiyan aur hansi har dum mile,
ghum jab bhi chalain tumhari orh,
Kudha kare osay raste main hum mile
uss khuda se bas yahi fariyaad karta hoon
dost teri khushiyoon k liye dua karta hoon,
apni zindagi k har panne ko baar-baar palta kiya karte hain
dost hum teri dosti k inn haseen lamho k sahare hi to jiya karte hain…
Apnapan!
Main samajhta hi raha
Tumhe mera apna!
Aur;
Tumne
Kitna apnapan dikhaya
Tum
Mujhse
Bina kuchh kahe sune
Mujhe chhod kar chali gyi
Ajab daur hai ye zindgani ka
Har su zor hai badgumani ka
Dosto ne dushman hai samjha
Kaise sila doon meharbani ka
Dil apna parche ki tarah dikha diya
Gunehgar hoo main is nadani ka
Mna kar meri khushion ka matm
Dhoonde ilaaj meri pareshani ka
Na mere jazbo se khelo dosto
Khatawar hoon main nafarmani ka
Tum sa nahi par hoon to tumhara hi
Qirdaar nahi main kisi kahani ka
Dil toota hamara magar aakhir kyon
Nahak ranj kare cheez begani ka.
kya isk larana dandniye apradh hai,,
radh our kandha ka sath tha//
mere tere pyar me ,
itana kyo vivad hai,,
Aakho me aasu ko ubharne na diya,
mitti ke motiyo ko bikharne na diya,
jis rah pe pade the tere kadamo ke nishan,
ush rah se kisi ko gujarne na diya……..!
dosti bhari padegi mein janta tha par phir bhi mein piche mud na saka
sochta hai itna phir jindgi kha hogi.dost humko bana phir dekh, kya pehchan milti hai chand lamho mein
jab yaad tumhaari aati hai, ek dard se payda hota hai, jab duniya saari soti hai, tab yeh dil chupke chupke rota hai!!!!
I swear i just loved the way u put in your thoughts …i m sure u find urself soon…
log pyar ko khuda kehte hain,
karo to gunnah kehte hain,
kahawat hai patthar dil roya nahi karte,
to phir paharon se hi jharne kyun behte hain….
nice poems!!!!!!!!!i really liked it…….
Bahaaron mein tumhen dekhaa tho aisaa lagaa,
mere honthoon ki bholi si muskaan vaapas aa gayi…
chipi chipi si thi kal tak aarazoo,
dil se chaaha khushi ko ke tum saamne aa gayi…
zulphon ko bikhere chalti jab,
tum havaaon ki sansanaahat sunaati ho…
madhbhari aankhon se mere dil pe zulm karti,
tab apne bholepan se mujhe cheen jaati ho…
shayad main hosh kho baithun
tum jo baaten karne lago…
bas yun hi dekhta rahun…
aye haseen in lamhon ko mujhe samentane do….
Main kaun hun?????????
Ghar ki chaar deewaron ke beech
Main apne mata-pita ki beti hun.
Padosi ke bete ki muh-boli behen
Aur college mein kai logon ki saheli hun.
Logon ke saath toh kai rishtey hain mere
Par koi mujhe bataye,
Main apni kaun lagti hun?
Lambi-chaudi sadkein
Aur neeli peeli traino mein
Main anchahi bheed ka hissa hun
Kabhi kuch galiyon mein mera bada naam tha
Aaj main vahan ek beeta hua kissa hun
Kuch baton mein tej, toh kuch mein jara bholi hun
Kabhi bahut jaani pehchani
Toh kabhi anjaani paheli hun
Kabhi logon se ghiri hui
Toh kabhi bilkul akeli hun
Kabhi purane khayalon waali
To kabhi nayi naveli hun
Jeevan ke 18 saal, panne palat teh beet gaye
Kai “kathit” vidvanon se bhi maine pooch liya
Par yeh prashna chinha ab tak nahin mita
Koi toh mujhe de bata
Main kaun hun? Main kya hun?
Main apni kaun lagti hun?
– PARAMITA DEBNATH
I really love this sites…reallynice poemss
kahne ko to sharab gamo ko bhula de ti hai,
bhula de ti hai un yaado ko,aasuo ko bhi sukha deti hai,
mat pio itna kabhi,kabhi jayada p ne se aarmano ko bhi jala deti hai.