Haqiqat jan lo bichad jane se pahle,
Meri sunlo apni sunnese pahle,
Ye sochlena bhulaneese pahle,
Bahut royi hai ye aankhe muskuranese pahle
Bina chot khaye ahesas nahi hota,
Har koi duniya me khas nahi hota,
Magar jiski arzu dil se ho jati hai,
Wo hi shaks hamare pas nahi hota
Shikwa nahi koi zindagi se,
Magar ek shikayat khuda se zarur hai,
Jazbaat kyun diye tune hame,
Jab duniya me pyaar karna kasoor hai
pyase ko ek katra pani kafi hai,
ishq me char pal ki zindagi kafi hai.
dubne ko samandar me jaye kaun,
unki palko se tapka voh pani hi kafi he
Dheere dheere dur hote gaye
Waqt ke aage majbur hote gaye
Ishq me hamne aisi chot khai
ke hum bewafa aur vo bekasur hote gaye
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.