Pyar Ke Ujale Me Gham Ka Andhera Kyu Aata Hai,
Jisko Hum Chahe Wahi Kyun Rulata Hai,
Mere Khuda Agar Woh Mera Nasib Nahi To
Aise Logon Se Hume Milata Kyun Hai
Dil Ke Tootne Se Nahi Hoti Hai Aawaz,
Aansoo Ke Behne Ka Nahi Hota Hai Andaz,
Gum Ka Kabhi Bhi Ho Sakta Hai Aagaz,
Aur Dard Ke Hone Ka To Bas Hota Hai Ehsaas
Ansu Ho Jo Tere Daman Mein To Unhe Ankhon Tak Na Lana,
Alfazon Ki Shyahi Se Unhen Hum Tak Pahuchana..,
Sambhalega Yeh Sagar Teri Ankh Ke Har Moti Ko Kuch Is Tarah..,
Ki Banjaye Har Moti Meri Zindagi Ka Khazana
Geele Kagaz Ki Tarah Hai Zindagi Humari
Koi Likhta Bhi Nahi Koi Jalata Bhi Nahi
Is Kadar Akele Ho Gaye Hai Hum Aajkal
Koi Satata Bhi Nahi Koi Manata Bhi Nahi.
Zikr Jab Bhi Aap Apno Ka Kiya Karen
Aaj Bheegi Hai Palke Ek Fariyad Me,
Ashq Bhi Simat Gya Hai Apne Aap Me,
Oos Ki Bunde Aise Bikhri Hai Patto Par,
Maano Chand Bhi Roya Ho Kisi Ki Yaad Me.
Samazate Hai ,
Aur Unke Gum Main Bhi To Saath Nibhate Hai,
Unki Musibato Ko Khud Zelate Hai,
Aur Fir Bhi Muskurate Hai,
Fir Bhi Wo Aisa Kyon Samazati Hai Ki,
Sare Mard Ek Jaise Hote Hai,
Dil Ki Khwaish Ko Naam Kya Du,
Pyar Ka Use Paigam Kya Du,
Is Dil Me Dard Nahi Uski Yaade Hai,
Ab Yaade Hi Dard De To Use Ilzaam Kya Du.
Kisiko Kya Bataye Ki Ye Saza Kya Hai,
Is Bechain Khamoshi Ki Wajah Kya Hai,
Har Koi Chod Jata Hai Tanha Hume,
Aur Hum Smajh Ni Pate Hamari Khata Kya Hai.