Friendship Sher o Shayari

hindi friendship shayari

hindi friendship shayari

Dost hazar nahi sirf ek chahiye,
Sukh-dukh mein de saath woh yaar chahiye,
Hum kisi ko bhulate nahi,
Lekin jo yaad rakhe hume woh yaar chahiye.

RelatedPosts

Kaanch ke tukdo pe chala nahi karte,
Dil ki baat har ek ko kaha nahi karte,
Aashiq bhi jalte hai hamari dosti dekhkar,
Kyun ke hum jaise dost har ek ko mila nai karte.

Dosti naam hai saath daine ka,
Dosti naam hai insaniat ka,
Dosti naam hai qhuloos ka,
Dosti naam hai khushiyan daine ka,
Dosti naam hai dil mai utarne ka,
Dosti naam hai doost ki burai dafan karne ka,
Dosti naam hai apnaiyat ka,
Dosti naam hai bharoose ka,
Hai woh shakash bohat anmol,
Joo sachhee dosti ke mazbut,
Bandhan mein bandha hua hai.

Jab yaar door chala jata hai,
Peechay yaadein chod jata hai,
Woh lamhey vo dard de jata hai,
Jo aansoon ban kar uski yaad dilata hai.

Mil jaye koi naya, hame na bhula dena,
Koi jo dil dukhaye tumhara toh hame yaad kar lena,
Dost hai hum tumhare,
Khushi na sahi gum toh baat lena.

author avatar
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe, Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 2

  1. paddu says:

    dosti
    —–
    kabhi dost se jada pyar na kar
    kyoki dosti me apane ko paraya kardeta hai
    paraya ko apana bana deta hai
    ham jinhe pyar karte hai
    vo kisi aur ko pasand karte hai
    pata nahi sacche dosti par koi viswas nahi karte hai
    juthe par hi sab viswaas karte hai

  2. paddu says:

    Bada mahatv hota hai
    ——————–
    hotel me mej ka
    naukari me age ka
    bada mahatv hota hai
    bus me conductor ka
    jile me collector ka
    bada mahatv hota hai
    ghar me calender ka
    history me alexjender ka
    bada matve hota hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *