Khalid
Tu sath mere hai,tu paas mere hai,
Janta houn main ye din sunehre hain.
Is dil ki khatir tu paas hai mere,
Jaane kya kya is dil mein,armaan tere hain.
Teri tasveer jab dekhoun,mujh ko yaad aaye tu,
Saanson mein,aahon mein,dharkan mein mere hai.
Jeena tere liye,marna teri khatir,
Ishq ka sehra bandha sar par mere hai.
Umeed hai tujh ko,main paaounga ik din,
Dua tujh ko paane ki,ab lab pe mere hai(mkm)
=====================================
===========================
khalid
Comments 17
Tere chere per latke kesh ko main julf kahun ya kahun resam k jal.
Tere chere per latke kesh ko main julf kahun ya kahun resam k jal.
bade khusnasib honge we chuhe jinhone kutre aap k baal.
very very nice
I like your all things all masseges and shayaries
because u r very lovely person
Ji ha khalid bhai sirf meri hi nahi aapke bahot saare fans ki dua aapke sathe he……… Aage bhi aise hi likhate rahiyega…………
hiiiii khalid bhai………
aapki ye shayri mene padi bahot accha likha he aapne…….. aise hi acchi achhi shayri aage bhi likhte rahiye…….. aapki agli shayri ki mujhe intezaar rahega……….umid he aap jaldi hi likhoge…………
@@@ NEHA TALIA @@@
Neha Talia
Meri pyari si behna. Bahaut khushi hui
ye jaan kar ke ye shayari tumein pasand
aai. Meri puri koshish ho gi ke jald az jald
koi aur shayari likh paoun bas tum dua
karna !!!
===========================
khalid.m@hotmail.co.uk
===========================
BICHADNE SE PEHLE EK YAAD DE JAAYENGE, SONE SE PEHLE EK KHAWAAB DE JAAYENGE, TUMHE GILA HAI HUM TUMSE BAAT NAHI KARTE, PAR SAANS RUKNE SE PEHLE HAR JAWAB DE JAAYENGE……………….
ok
bahut bahut achhe…
Amarjeet
Thank you my friend.Nice to hear from you
too.Yes it has been a while,been kind of
busy lately.
===========================
khalid.m@hotmail.co.uk
===========================
Hi Khalid,
Bahaut achi posting hai…..
You have not been here for a while now…..
it is good to see you back…..
Hope all is well with you…..
*************************************
Mukesh
Bahaut bahaut shukriya Mukesh ji shayari
pasand karne ka aur comment dene ka.
===========================
khalid.m@hotmail.co.uk
===========================
Oh……… Kya Baat Hai Yaar Kya Shayari Hai Kash…………
tere yadoomay main thanha rehta huo
main tujpe nahi tere shihali pe pyaar
karta huo
1 ladka 1 ladki ko har roj sirf use dekhne k liye uske SHOW ROOM se roj 1 CD kharidta tha, Use laga ladki use kabhi nahi chahegi,Par fir bhi wo roj aata aur ek nayi CD kharidta, 1 din wo ladka mar gaya,or wo ladki ko pata chalne par wo uske ghar gayi,Ladke ki mummy ne ladki ko uska kamra dikhaya,Ladki ne dekha ki abhi wo sab CD’S pack hi thi..Ladki ko bahut dukh hua,Kyu ki ladki roj CD me ek LOVE LETTER rakhti thi. What a tregic LOVE STORY !.
Mahi
Mujhe pata hai ke mere chahne wale badhi
be sabri se meri post ka intezaar kar rahe
thay lekan kya karoun “Aur bhi tau gham hain
zamaane mein mohabbat ke siva”. Itni dher sari
duaon ka bahaut shukriya meri dost.Bahaut hi
khushi hui hai ye jaan kar ke tumein ye post achi
laqi. Meri koshish rahe gi ke sab doston ki umeedon
par pura utroun aur jald az jald post kar sakoun.
Thank you once again for your kind words !!!
=================================
khalid.m@hotmail.co.uk
=================================
dil ki gehraion se…
Teri tasveer jab dekhoun,mujh ko yaad aaye tu,
Saanson mein,aahon mein,dharkan mein mere hai.
Jeena tere liye,marna teri khatir,
Ishq ka sehra bandha sar par mere hai.
Umeed hai tujh ko,main paaounga ik din,
Dua tujh ko paane ki,ab lab pe mere hai…
hi khalid,
shukar hai rab ji ka k aap aa to gaye der se hi sahi magar fir bhi aa hi gaye…bhut khoob likha hai aapne waise hi jaise k pehle likhte rahe ho…aapki kalam se nikla ek ek alfaz dil ko na jane kyun sukoon deta hai,woh alfaaz bhi rab ji ka shukar karte honge jinhe aap chun kar apni kalam se likhte ho…bhut khoob suchi… rab ji karein k aap yun hi sada achhi 2 post dete rahein…aur har pal khush rahein,aur han ek dua aur karti hu k aap mahine mein ek post to zroor likhein,agar shayri jabardasti nahi ki jaati jaise k aapne kaha tha to rab ji ki yeh inayat aap par ho k woh aap ko naye 2 khyal de jin par aap likh sakein…
Mahi…