Dil ujdi huee aik saraaye kee tarah hai,
Abb log yahaan raat bitaane nhi aate,
Hothon pe mohabbat ke fasaane nhi aate,
Saahil pe samundar ke khazaane nhi aate,
Palkein bhi chamak uth-thi hain sote mein hamaari,
Aankhon ko abhi khwaab chhupaane nhi aate,
Dil ujdi huee aik saraaye kee tarah hai,
Abb log yahaan raat bitaane nhi aate,
Yaaro naye mausam ne yeh ehsaan kiye hain,
Abb yaad mujhe dard puraane nhi aate,
Uddne dou parindon ko abhi shokh havaa mein,
Phir laut ke bachpan ke zamaane nhi aate,
Iss sheher ke baadal teri zulaf kee taran hai,
Yeh aag lagaate hain,bujhaane nhi aate,
Ehbaab bhi gairon kee adaa seekh gaye hai,
Aate hain magar dil ko dukhaane nhi aate,
Mehul
Dil ne ham se jo kaha, ham ne vaisa hi kiya
phir kabhi furasat se sochenge, bura tha ya bhala
zindagi khwaab hai...
Comments 1
your shayri is vbbest and want to take collection of your best shayari ,
if you don,t mind are you send me your collection