Ashq Reh Reh Kar Meri Aankhon Se Bahey Jaate Hain!!!

RelatedPosts

Khalid

Ashq reh reh kar meri aankhon se bahey jaate hain,

Yeh woh mehmaan hain jo,bin bulaye chale aate hain.

Hijar ke mausam mein dilon ka sisakana saari raat,

Shama khamosh hai magar ham tau jale jaate hain.

Baat kehni thi nermi se magar zubano ki talkhi,

Lafz kharon ki tarah dil mein chubhe jaate hain.

Meri bebasi pe rota hai,barasta aasman abhi bhi,

Yeh woh baadal hain jo aahon se buney jaate hain.

Aaj phir tere dil ne humein tarap kar pukara aise,

Bina rahon ke kadam teri janib uthey jaate hain(mkm)

=============================================

khalid.m@hotmail.co.uk

=============================================

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 15

  1. Amaan says:

    Kis himakat ne mujhe unse dur kar diya
    kuch armaan the jo bikhar gaye
    kyun aj bhi hum khud ko rok nahi sakte
    itne unjaane toh nahi the
    jo mujhe sabab bhi puchne na diya

    amaan….

  2. divya soni says:

    your shayri is very good
    &i love shyri

  3. khalid says:

    Divya Soni

    Thank you so much Divya for your appreciation.
    I am very greatfull . All the best !!
    ==============================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ==============================

  4. Gajendra verma says:

    jivan se bhari ranho me unmand khade pahado me
    panchiyo ke chahchaht me subhah ki kirno me dil ki aawazo me dard ke fasano me meri aarzoo me tumhari jindagi me aaj or kal me kal or aaj me muskurahe cheharo me

    to be contionu……………….

  5. Gajendra verma says:

    Aaj meri har tamanna ka andaaz wo hai
    muhe jiski talash thi mera hamdard wo hai
    kaise kahoo mai apne dil ki baat usse mere samne wo hai
    jindagi me kuch na mila na sahi bas ek chahat wo hai najro me basi jiski tasveer har pal mera aaina wo hai
    kaise kar du apne se use door meri dhadkan wo hai

  6. Gajendra says:

    jindagi tanha hai par jina kyo hai
    jo apna hai aaj wo hi begana kyo hai
    kasti nhi jindagi ki par jana us par kyo hai
    hum sab musafir hai is duniya ke par humsafar ki talas kyo hai
    jo bit chuka so bit chuka usi ki yaad kyo hai.

  7. khalid says:

    Koi Yeh kaise bataaye ke woh tanhaa kyun hai
    Woh jo apna tha woh hi aur kisi ka kyun hai
    Yehi duniya hai to phir aisi ye duniya kyun hai
    Yehi hota hai to aakhir ye hi hota kyun hai
    =======================================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    =======================================

  8. Preet says:

    Bhula kar hame vo khush reh payege, hamare sath to nhi, par hamare jane ke bad khush reh payege, dua karte hai khuda se ke unhe koi dard na dena kyonki ham to seh gye par wo toot jayege

  9. reet says:

    jind apni tere na kar jan nu jee karda

  10. khalid says:

    Lamha lamha karke waqt guzzar jayega,
    Chand lamhe, aur phir daaman chut jayega
    Waqt hai, humse do baatien karlo
    Phir kya pata, kaun aapki zindagi main aa jayega
    ========================================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ========================================

  11. Preet says:

    Tamanna se nhi tanhayi se darte hai , pyar se nhi rusvayi se darte hai , milne ki to boht chahat hai hame par milne ke bad judai se darte hai

  12. khalid says:

    Hi Preet

    So nice to see you.Ofcourse i remember
    you.How have you been my friend? Hope
    all is well with you you and the family.
    Please keep on visiting.Its been a
    pleasure to see you here again.
    ===================================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ===================================

  13. Preet says:

    Hi khalid! How r u? Preet is back. Do you remember abt me?

  14. khalid says:

    Tamanna

    Wasalaam my friend.Wether i send you
    the link or not you allways seem to
    find my posting.
    Thank you so much for being here !!!
    =================================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    =================================

  15. Tamanna says:

    Salaam..

    Really nice Khalidji…its awesome…
    keep posting…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *