Dil Kabhi Dil Se Juda Nahi Hote,
Yuhi Hum Kisi Par Fida Nahi Hote,
Pyar Se Bada To Dosti Ka Rishta Hai,
Kyuki Dost Kabhi Bewafa Nahi Hote…
Zindagi Roz Naye Rang Mein Dhal Jaati Hai ,
Kabhi Dushman To Kabhi Dost Nazar Aati Hai,
Kabhi Chha Jaaye, Baras Jaaye, Ghata Be-mausam ,
Kabhi Ek Boond Ko Bhi Rooh Taras Jaati Hai
Karoge Yaad Ek Din Tum Dosti Ke Zamane Ko,
Chale Jayenge Jis Din Hum Kabhi Na Wapas Aane Ko…
Chedega Mehfil Me Zikar Hamara Koi,
To Chale Jaoge Tum Tanhai Mein Aansoo Bahane Ko
Maayusiyon Ki Dhool Se Har Naksh Hai Dhundhala Tera.
Maine Kabhi Ae Zindagi Dekha Nahin Chehra Tera.
Tu Bhi Kabhi Mehsoos Kar Kya Hai Bikharne Ki Tadap.
Ek Roz Bazi Yun Saje Sheesha Tera Pathar Mera.
Jisne Humko Chaha, Use Hum Chah Na Sake,
Jisko Chaha Usse Hum Pa Na Sake,
Yeh Samajh Lo Dil Tutne Ka Khel Hai,
Kisi Ka Toda Aur Apna Bacha Na Sake
Tumhara Hamara Rishta To Aankhon Aur Palkon Jaisa Hai,
Agar Palak Kuch Der Na Jhapke To Aankh Ro Deti Hai…
Aur Agar Aankh Mein Kuch Chala Jaye To Palak Tadap Uthti Hai…
Tute Khawbao Ko Phir Sajana Aata Hai,
Ruthe Dil Ko Manana Aata Hai…
Aap Hamare Gum Ko Dekhkar Pareshaan Na Ho,
Humein To Dard Mein Bhi Muskarana Aata Hai…
Har Phool Ki Ajab Kahani Hai,
Chup Rehna Pyaar Ki Nishani Hai..
Kahi Koi Zakham Nahi Hai Phir Bhi Kyon Yeh Dard Ka Ehsaas Hai,
Lagta Hai Dil Ka Ek Tukda Aaj Bhi Unke Paas Hai….
Teri Pyar Ka Sila Har Haal Mein Denge,
Khuda Bhi Maange Yeh Dil To Taal Denge..
Agar Dil Ne Kaha Tum Bewafa Ho,
To Is Dil Ko Bhi Sine Se Nikal Denge….!!!
Bag Ki Baat Baag Ka Mali Hi Samje,
Fulo Ka Dard Zukti Dali Hi Samje,
Ye Kaisi Rit Banai Duniya Walon Ne,
Diye Ka Dil Jale Aur Log Diwali Samje
Aap Har Manzil Ko Mushkil Samajhte Hain,
Hum Aapko Manzil Samajhte Hain…
Bada Fark Hai Hamare Aur Aapke Nazariye Me,
Aap Hame Sapna Or Hum Aapko Apna Samajhte Hain…..
Pyaar Gazal Hai Gungunane Ke Liye,
Pyaar Nagma Hai Sunane Ke Liye,
Ye Woh Jazba Hai Jo Sabko Milta Naahi,
Kyunki Hosla Chaahiye Pyaar Nibhane Ke Liye..
Nakaam Si Koshish Kiya Karte Hain,
Hum Hain Ki Unse Pyar Kya Karte Hain…
Khuda Ne Takdir Me Ek Tuta Tara Nahi Likha,
Aur Hum Hain Ki Chaand Ki Aarzu Kiya Karte Hain….
Wo Mil Jate Hai Kahani Bankar…
Dil Mein Bas Jate Hai Nishani Bankar…
Jinhe Hum Rakhte Hai Apni Aakho Mein..
Kyo Nikal Jate Hai Wo Pani Bankar….
Samjha Na Koi Dil Ki Baat Ko,
Dard Duniya Ne Bin Soche He De Diya….
Sah Gaye Jo Hum Agar Dard Ko Chupke Se,
To Phir Humko Patthar Dil Keh Diya…
Nafrat Thi Hamse To Izhar Kyo Kiya?
Dena Tha Jahar To Pyar Kyo Kiya?
Dekar Jahar Kahte Hain Ki Peena Hi Hoga,
Aur Jab Pee Gaye Jahar To Kahte Hain Jeena Hi Hoga..
Collection By,
Abrar Ahmed…
Comments 6
Ye to hm the jo sah gye teri her berukhi janab.
Koi aur hota to kab ka mar gya hota …k.k…
u are a gr8 shayaar , motivating young generation…..
kaash aasoun ke saath yaadein beh jati
kaash ye khamosi sab kuch keh jati
kaash kismat tumne likhi hoti to
shayad tumhari kismat me pyar ki kami na rah jaati
be carefull mere bhai
These are just awesome. Kya shayari hai….
tarana hai ismein har mood ke liye,
guldasta hai yeh zamane ke liye…(hehe just tried a line for the first time)
ye sayari badi achi hai
good one
keep try to send
keep it up
brother