Khalid
Ae dost teri yaad bahaut aati hai
Tanhai mein mujhe bahaut sataati hai.
Kis se kahoon apne dil ki baat main
Ye hawa bhi kab tak saath nibhati hai.
Ye baarish ki boondein,ye matti ki khushbu
Mujhe tanha dekh kar mera mazaak uraati hein.
Mujhe tum se hai mohabbat itni
Tanhai mein tumhari awaaz aati hai.
Deta hai sadaa koi mujhe door se
Lagta hai mujhe meri dost bulati hai. (mkm)
===================================
khalid.m@hotmail.co.uk
===================================
khalid
Comments 15
Duniya mein bahut gham mileinge
Sach mano achhe dost kam mileinge
Jis mod par sab chhod jayenge saath tumhara
usi mod par khadey ham milenge.
best shayari in the world yrrr….
khalid sahab very nice gazals
good khalid,aisa koi nhi jo tanhai se nhi darta,akhir pyar kaun nhi chahta?
Kuch dost aise hote hai jinhe yaadein bhool nahi pati hai..
Woh dost anmol hote hai,
Jab dil se dosti ki jaati hai..
Aaj bhi dekhte hai doston ko saath rehte hue..
Kabhi gale milte,kabhi ladte jagadte hue..
In doston ko saath dekh kar meri aankhein bhar jaati hai..
Ae dost teri bahut yaad aati
very nice
Aj Phir Kuch Ehsaas Howa
Dil Ko Kuch Mehsoos Howa
Kiyo Nafrat Hai Tere Dil Main Mere Liye
Iska Mujhey Bohot Dukh Howa
Yu Hum Kaise Bataye Ge
Apni Zindgi Ko Uska Khayal Howa !!
Sweet
.Yaad aaye to aankhen band na karna,
hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.
.Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni takliff kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane.
Door Hain Aapse To Koi Gum Nahi,
Door Rahakar Bhi Bhulne Wale Hum Nahi,
Roz Mulakat Na Ho Paye To Kya Hua,
Aap Ki Yaad Mithi Mulakat Se Kam To Nahi
Har aahat ehsaas hamara dilaayegi.,
Har hawa khushbu hamari laayegi.;
Hum dosti aisi nibhaayengey yaara!
Ki hum na honge aur humhari yaad tumhe sataayegi..! !!
Main Lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta,
iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta
chata hun tumhe aaj bhi par teri soch mein apna waqt bekar nahi karta,
tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera islye apne dard ko bayan nahi karta
jo kuch bhi mila hai usi mein khush hu
mein tere liye khuda se taqrar nahi karta,
par kuch to baat hai teri fitrat mein
Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bahut chahat hai,
par milne ke baad judaai se darte hain
Yaad aaye to aankhen band na karna,
hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.
Mahek Dosti Ki Ishq Se Kam Nahin Hoti,
Ishq Se Zindagi Khatam Nahin Hoti,
Agar Sath Ho Zindagi Mein Achche Dost Ka,
To Zindagi Jannat Se Kam Nahin Hoti,
. JAAN HAI MUJH KO ZNDAGI SE PYAARI
JAAN KE LIYE KAR DU QURBAN YAARI
JAAN KE LIYE TOD DU DOSTI TUMHARI
AB TUM SE KYA CHUPANA
TUM HI TO HO JAAN HAMARI
*****************************************
Very nice Khalid…..
*****************************************
Assalaamualaikum Khalid Sahab,
Shukriya bohot bohot aapka khalid sahab hum aapke bohot aabhari hain….. Aap itni achhi ghazalein likhte hain ke bas DIL KHUSH hojata hai….. Bas main aapse ek baat poochna chahunga ke aapko inti khubsoorat ghazalein likhne ka inspiration kahan se mila hai???? Plz agar yeh sawal mujhe nahi karna chahiye tha toh plz is khata ki muafi chahta hun main…… Aap ki ghazalein padh kar aisa lagta hai ke aap DIL ke bohot khubsoorat insaan hain…. Agar aapko mere liye is ghazal ko taiyyar karne me koi pareshani hui ho toh main muafi chahta hun aapsa……. ALLAH aapko hamesha khush rakhe aur aapki har DUA jald se QUBUL farmae.. AMEEN
BOHOT KHUBSOORAT GHAZAL THI EK BAAR AUR SHUKRIYA AAPKA TAHE DIL SE
AAPKA CHAHNE WALA
IMAD KHAN
Kuch dost aise hote hai jinhe yaadein bhool nahi pati hai..
Woh dost anmol hote hai,
Jab dil se dosti ki jaati hai..
Aaj bhi dekhte hai doston ko saath rehte hue..
Kabhi gale milte,kabhi ladte jagadte hue..
In doston ko saath dekh kar meri aankhein bhar jaati hai..
Ae dost teri bahut yaad aati hai..
*****************************************
Very nice Khalid…..
*****************************************