Jin rahon pe ik umar tere sath raha hoon
Kuch roz se wo rastey sunsaan bohat hain
Mil jao kabhi laut ke phir aaun na shayad
Kamzor hoon main rah mein toofan bohat hain
Ik tum he nahi meri judai mein pareshan
Hum bhi to teri chah mein viraan bohat hain
Ik tark-e-wafa pe main usey kaise bhula doon
Mujh par abhi us shakhs ke ehsaan bohat hain
Bhar aayein na ankhein to main ik baat bataun
Ab tujh se bichar janey ke imkaan bohat hain
Mehul
Dil ne ham se jo kaha, ham ne vaisa hi kiya
phir kabhi furasat se sochenge, bura tha ya bhala
zindagi khwaab hai...
Comments 3
ap jo lekhe mujhe bhuth pasand aaya kyun boleto isa hi mere se b howa hai
aap ki soch acchi hai
vichar acche hai
Ishq k charche bahut hain,
Hushan k parde bahut hain.
Are hamne bhi Ishq karke dekha,
BAP RE BAP kharche bahut hain.