Jitna bhi chaahoon, phir bhi na paaun…
Apnon se dar kinaara…
saanson ki dhadkan, chubhti hai har pal…
darati hai khud apna hi saaya…
Bheed itni ho gayi achanak…
apney ko akela hi paaya….
Yun chal pade hain raahee safar…
jaise nadi aur kinaara….
Laa laa.. la.. laa laa………
Phir bhi kinaare toh sookhe hi rehtey hain…
Lipta kiye unse dhaara….
Thodey se baadal, thodi si baarish…
Kohra bhi kal tha chaaya….
Laa laa.. la.. laa laa………
Itney ujaale ho gaye achaanak…
Apna bhi dikhta na saaya….
haan.. apna bhi dikhta na saaya….
apna bhi dikhta na saaya………….
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.