Khalid
Ae mere chahne wale mujhe is kadar dua na de,
Tadpoon mai raat bhar mujhe aisi sada na de,
Tu door ho ya paas ho mera ban ke to dikha,
Tera ishq zara se shaks ko aashiq bana na de,
Khwaabon men is kadar na aa ki so bhi na sakun,
Yaadon men is taraah na aa ki din bhi na kate,
Aaankhon me ashq aayein aur main ro bhi na sakun,
Itna mujhe na chaah mujhe aisi dawa na de,
Itni wafa ke baad gar chalkein palko ke jaam,
Unko bhi na piyun mujhe aisi wafa na de,
Apne shahar ki galiyon ko mai chodd hun chuka,
Aisa na ho teri gali tera pata na de,
Sab kuch luta ke khush hun jo paa liya tujhe,
Aisa na ho tere darr pe hun aur tu panaah na de.
===========================================
===========================================
khalid
Comments 13
aap ki har sayari me kuchh hai jo mujhe bite paalo se milata hai.akhon me uski tasveer dikhti hai.hum dil se kehte hai aj wah wah subhan allah
Imroz
I am delighted that you have enjoyed
my post.I realy appreciate your
comment.Bas aap jaise doston ki
mehrbani hai keh meri hosla afzai
karte rehte hain.Bahaut bahaut shukriya!
===========================
khalid.m@hotmail.co.uk
===========================
i’m so glad 2 read ur thots Khalid….u r blessed with an amazing talent…MashaAllah…aapki humsafar badi khush kismat hogi
KHALID BHAI, MAAFI CHAAHU GA….
RAHA NAHI GAYA… AAP KI NAZM
MEIN SE AK SHER BANANE KA MAN AA
GAYA, JO MAIN AAP KO HI PRESANT
KARTA HU..
AAP KI NAZM HAI HI ITNI KHOOBSURAT
KE BAR BAR PADNE KO DIL CHAHTA HAI***
PESH HAI…
Ae mere chahne wale,
Mujhe is kadar dua na de,
Tadfoo raat bhar,
Aisi sada na de,
Tum door raho ya paas,
Mere ban ke rehna…
Kahin aisa na ho ki,
Tere darr pe aayoon,
Tu panaah na de….
xxxxxxxxAVTARxxxxxxxx
Amarjeet
Thank you dost.I am happy you
have enjoyed this post!
Aap jab aisi batein likhti hain
to hosla aur bhi bhar jaata hai.
=====================
khalid.m@hotmail.co.uk
=====================
Heyy Khalid……
Kitna acha likha hai…….
Tuhadi har likhi hui sher yahaan dil ko chu leti hai…..
It is really gud…..
Khwaabon mein iss kadar na aa k so bhi na sakun..
Yaadon mein is tarah na aa ke din bhi na kate..
bahut pasand aayi…..yeh line…
****************************************
Savanshah
Mere yaar yeh jo tum ne likha
hai,bahaut achhi sauch hai tumahari.
Main bahaut khush hun ke tumain meri
shayari achhi lagi,aur iss se bhi ziada
khushi keh tum ne mujhe apna yaar kaha!
============================
khalid.m@hotmail.co.uk
============================
Are khalid yaara,
ab muje ye lagata he ke mere pas meri khudaki or dusharo ki sayari jo meri not book me he vo aacchi he, ya
tumhari or yaha par jo naye dost bane he unaki,
or khas to ye he ki tumhari sayari or naye dosto ki sayari jisaki bhi kisi ko kaheta hu to unake nam se hi kaheta hu,
taki unako bhi malum gire ke kisane banayi he..
.
.
.
Kagaz pe hamne zndgi likh
di,
Ashkn se sinch kar hr kushi likh
di,
Dard ko jab humne ubhara lafzon me,
To logon ne kaha, wah kya ghazal likh
di..
Are khalid yaara,
ab muje ye lagata he ke mere pas meri khudaki or dusharo ki sayari jo meri not book me he vo aacchi he, ya
tumhari or yaha par jo naye dost bane he unaki,
or khas to ye he ki tumhari sayari or naye dosto ki sayari jisaki bhi kisi ko kaheta hu to unake nam se hi kaheta hu,
taki unako bhi malum gire ke kisane banayi he..
.
.
.
Avtar bahi
Bari khushi hui aap ko yahan pa kar.
Aur mujhe pata thaa ke koi aur daad
de na de aap zarur comment denge.
Bahaut bahaut shukriya mere dost!
Aur yeh jo aap le ke aaye hain yeh
bhi to kuchh kam nahi!
“Gam Se Fursat Mile, Hum Nahi Chahte”
Kaun kam bakht chahe ga ke in se fursat
mile, yeh to zindagi ka sarmaya hote hain.
============================
khalid.m@hotmail.co.uk
============================
BAHUT HI KHOOB LIKHA HAI
KHALID BHAI..KAAFI DIN BAAD
NET PE AAYA HU….AATE HI AAP
KI SHAYARI KI KHUSHBOO DIL-O-
DIMAG PE CHHA GYI…..BAHUT KHOOB…!!
Shaam-e-Fursat Dhale, Hum Nahi Chahte,
Gam Se Fursat Mile, Hum Nahi Chahte,
Phir Naya Waar Sehne Ko taiyaar Hein,
Tu Preshaan Rahe, Hum Nahi Chahte,
Aaz Aansoo Bahaane se, Mat Roko,
Aaz Barish Thume, Hum Nahi Chahte,
Tujhe Paakar Ham Dekhte Hi Rahe,
Tu Nazar Se Hatey, Hum Nahi Chahte,
Iss Qadar Pyar se Tu Pukaara na Kar,
Aag Dil Ko Lage, Hum Nahi Chahte,
Wallaikum salam Sweet
Bahaut acchha laga tumhara comment parh ke.
Yakeen jaano bahaut hi khushi hui ke tumain
yeh post pasand aay.
Meri dost tumhare jaise doston ka saath ho
to jee chahta hai keh acchhi se acchhi
shayari share karun.
Bahaut bahaut shukriya aur dilli dua hai keh
Allah Mian tumhari sari praishaniya door kare
(Ameen)
==============================
khalid.m@hotmail.co.uk
==============================
Salam Khalid
bohot khoob likha bohot acha laga maine, aap ki shayari ka to jawab hi nahi.. ZABARDAST NA
SWEET NA