Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasana Hai !!!

 

 

RelatedPosts

Khalid
 
Masoom mohabbat ka bas itna fasana hai
Kagaz ki haveli hai baarish ka zamaana hai.
 Kya shart-e- mohabbat hai kya shart-e- zamaana hai
Awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai.
 Uss par uterne ki ummeed bahot kam hai
Kashti bhi purani hai aur tufan ko bhi aana hai.
Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke
Ek shks ko aankho se dil ka sara dard sunana hai.
Bholi si ada koi phir ishq ki zid par hai
Phir aag ka dariya hai aur doob ke jana hai(mkm)
=======================================
======================================= 
 
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 18

  1. Arunsinghpadwal54@gmail.com says:

    Frnd aap kea liya

  2. khalid says:

    Abhishek

    Mujhe bahaut khushi hui mere dost ye jaan
    kar ke aap us samudar ko paar kar chuke ho.
    Lekan kabhi kabhi purane waqt ko yaad kar ke
    bahaut kuch seekha ja sakta hai.Kya khyal hai?
    ==============================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ==============================

  3. Abhishek says:

    waaaaaaaaaaa khalid tere likhne se laga k us zamane ka dard khinch gaya jahan kabhi ashko k samandar me jiya karte the

  4. sachin says:

    woh hai jo satati hai,
    Nazuk se dil ko tadpati hai,
    Karna na kabhi tum mohabbat kisi se,
    Kambkt ye woh hai..
    Jo haste logo ko rulati hai!

  5. sachin says:

    Mohabbat woh hai jo satati hai,
    Nazuk se dil ko tadpati hai,
    Karna na kabhi tum mohabbat kisi se,
    Kambkt ye woh hai..
    Jo haste logo ko rulati hai!

  6. Dil Ameer par muqaddar gareeb tha.mil kar bichadna mera naseeb tha. chah kar bhi kuch kar na sake hum.ghar bhi jalta raha aur samandar bhi kareeb tha…..

  7. Aftab Ansari says:

    Aiy dost tum mujhse aisi dosti banaye rakhna ki dekhne wale dang reh jaye,khoda bhi aake humse poche kya hum bhi tumhare dast ban jaye.

    • PAPOO says:

      BOHAT BURA INSAAN EK GUNAHGAR HAI HUM IS KABIL NAHI KE HUDA HUMAIN MILAIN.

  8. hora says:

    Masoom mohabbat ka bas itna fasana hai
    Kagaz ki haveli hai baarish ka zamaana hai.
    Kya shart-e- mohabbat hai kya shart-e- zamaana hai
    Awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai.
    Uss par uterne ki ummeed bahot kam hai
    Kashti bhi purani hai aur tufan ko bhi aana hai.
    Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke
    Ek shks ko aankho se dil ka sara dard sunana hai.
    Bholi si ada koi phir ishq ki zid par hai
    Phir aag ka dariya hai aur doob ke jana hai.

  9. Savan shah says:

    Kisi bahane se vohi jara najadik mere aa bethe,
    dil darata hi raha ki ham nashe me kuch kar na bethe.
    .
    .
    .
    Agar jindagi ki rah me majabur na hote,
    tumhare karib hokar bhi tumashe dur na hote,
    .
    .
    .
    Na milane par khush the
    kabhi,
    bichad ne par naraj he
    aabhi.
    .
    .
    .
    Fakt aek yad pan thodak vasasho purati raheshe,
    nathi muki biji koi nishani joi to jaaoo.
    .
    .
    .
    Teoo kahi rahya che ke nhato hu bhan ma,
    samajavu aene kem ke hato tara dyan ma.
    .
    .
    .
    Meri aakho ko tere virah ka savan na mila,
    khusbhu ho jis me teri vo madhuvan na mila.
    Yu to har dar pe laharate najar aaye daman.
    Khichate naj se jisako vahi daman na mila…
    S A v A n S h A h
    gujarat

  10. rimjim says:

    arre khalid mere dost kya dost itne achee poems u rock man really so mujhe otni hindi tu nahi ati liken mera jo pyaar hai woh india se hai tu agar hosa ka tu can u pllzzz can u write a poem with the name sameer plz plz

  11. khalid says:

    Thank you Sweet

    Yes its because of you all that i feel
    so proud for writing such wonderfull
    comments.It is realy very encouraging
    to receive all these praises.Thank you
    once again!!!
    =========================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    =========================

  12. Sweet says:

    WAKI I HAVE TO AGREE WITH YOU ALL THAT KHALID HAS VERY BEAUTIFUL POEMS…..JAB BHI LIKTE HO BOHOT ZABARDAST LIKTE HO…….YOU SHOULD BE PROUD NA…………..SWEET NA

  13. khalid says:

    Amarjeet

    Thank you Amarjeet so nice of you
    to post a comment.By the way you
    i mean your poetry is not bad either!
    Punjabi section is full of your beautifull
    poetry.
    ==========================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ==========================

  14. Mehul says:

    Mohabbat woh hai jo satati hai,
    Nazuk se dil ko tadpati hai,
    Karna na kabhi tum mohabbat kisi se,
    Kambkt ye woh hai..
    Jo haste logo ko rulati hai!

  15. Amarjeet Kaur says:

    Khalid…..

    phir se bahut khoob likha hai……
    got to agree with Rahul…..
    u r too good…..

    **********************************

    Neend bhi udaati hai…
    Chain bhi khota hai…
    Ishq mein aksar aisa hota hai…
    Khud se dur par dil k kareeb hota hai…
    Kismat vale hote hai woh…
    Jinhe sacha pyaar naseeb hota hai…

    **********************************

  16. khalid says:

    Hi Rahul

    Thanks mere yaar!
    Appreciate your comment.
    ==================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ==================

  17. Rahul says:

    Hi I m Rahul Ur So Good

    Usne jo mera sath na diya
    shayad uski bhi koi majboori thi
    Bewafa to voh ho nahi sakte
    shayad meri mohabbat hi adhoori thi,

    Mazak udana aadat thi us ki
    bardasht karna fitrat thi humari
    aaina rakhte the hum bhi
    kyun ke be-lagam ghodon ko
    lagam dena fitrat thi humari,

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *