Gam-e-aashiqi

Photo by Ksenia Makagonova

hame koi Gam nahi tha Gam-e-aashiqi se pehle
na thi dushmani kisi se teri dosti se pehle

hai ye meri badnasibi tera kya qasur is mein
tere gam ne mar dala mujhe zindagi se pehle

RelatedPosts

mera pyaar jal raha hai ai chand aaj chup ja
kabhi pyaar tha hame bhi teri chandni se pehle

main kabhi na muskurata jo mujhe ye ilm hota
ki hazaron gam milenge mujhe ek khushi se pehle

ye ajib imtehaan hai ki tumhi ko bhulana hai
mile kab the is tarha hum tumhe be-dili se pehle……

Zeeshan Ali
+919830440316

author avatar
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe, Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 21

  1. kapil soni says:

    Jindgi me kabhi kisi se mohabat mat karna
    Agar ho jaye to unkar mat karna
    Nibha sako to chalna unki rah par
    Varna kisi ki jindgi barbad mat karna

    99047799074
    love you dost

  2. kapil soni says:

    Ankhe kholun to chahera unka ho
    Ankhe band kar du to sapna unka ho
    Mar bhi jau to koi gam nai
    Kafan ke badle dupatta unka ho

    hi dosto agar mujse frendship karna chahta ho aur achhe sms apner mobail par chahte ho to pls call
    9904779907

  3. Rakesh saini says:

    You are a great shayar i like you sir

  4. Deepak says:

    hame koi Gam nahi tha Gam-e-aashiqi se pehle
    na thi dushmani kisi se teri dosti se pehle

    hai ye meri badnasibi tera kya qasur is mein
    tere gam ne mar dala mujhe zindagi se pehle

    mera pyaar jal raha hai ai chand aaj chup ja
    kabhi pyaar tha hame bhi teri chandni se pehle

    main kabhi na muskurata jo mujhe ye ilm hota
    ki hazaron gam milenge mujhe ek khushi se pehle

    ye ajib imtehaan hai ki tumhi ko bhulana hai
    mile kab the is tarha hum tumhe be-dili se pehle

  5. Bipin says:

    kya khub lakteho janab

  6. Anil Lakhera says:

    bahut acha likha he
    i love this line sech he ye

  7. harish kumar says:

    hiiiiiiii how r u??

  8. Nia says:

    Khalid
    kho gaya jo usey dhoond k laaoon kaise
    laapaton ka pata sabko bataoon kaise

    woh toh kehti hai chalo saath safar karte hain
    saath chalta hoon magar saath nibhaoon kaise

    meray alfaaz mein woh apni ghazal kaise kahein?
    apni aankhon se ussey khwab dikhaoon kaise

    woh jo hoti toh har roz jashan sa hota
    uske jaane pe ab eid manaoon kaise

    tu meri yaad mein har roz chali aati hai
    sochta hoon main teri yaad mein aaoon kaise

    kab se aangan mein bahaarein nahi aayee hain
    khushi k phoolon se main ghar ko sajaoon kaise

    jhoot sun-nay ke aadi hain mere sheher k log
    kyun kahoon such aur unko rulaaoon kaise

    dil jo roothay toh teri yaad mana leti thi
    yaad roothi hai ab isko manaoon kaise

    • faizan says:

      wah yaar bhai kya to likh hai yaar

    • Shifa says:

      ASSAL_O_ALIKUM bhai appki shayri bhouth pasand aaye hame appki life patnar app zindage bhar sath rahe………………..

  9. Jaanu says:

    Mai ye apki wajah se padha thanx ali 09889111039

  10. Bekasoor says:

    kuch bhi juban se kisi ke to nikli hai

  11. allan says:

    ghanta………….chori ki shayari hain yeh to

  12. vivek sinha says:

    i blv its a famous ghazal sung by mehndi hasan……i hav the record

  13. pradeep sharma says:

    pani main patthar na dalo
    pani koi aur bhi pita hai
    jeena hai to khush hokar jiyo
    tumhai dekhkar koi aur bhi jeeta hai

    pradeep sharma
    frome sadabad uttar pradesh

  14. pradeep sharma says:

    pani main pattha na dalo
    pani koi aur bhi pita hai
    jeena hai to khush hokar jiyo
    tumhai dekhakar koi aur bhi jeeta hai

  15. aleem khan says:

    KYA LIKHTE HAIN BHAI SAHAB……..

    KHUDA KARE KI AAP AAGE LIKHTE HI JAAYEN

    UR LINING IS FABULAS……….

  16. Shaikh says:

    Thats fantastic feeling u have define. Great.

  17. Sanjay says:

    Kya Baat Hain Sir ,
    Bahut Khub

  18. Amit says:

    acha likha bhai jaan……

  19. shweta says:

    hi it’s fabulas poetry i love this is se saaf pata chalta h
    likhne wale ne kitne gam sahe h pyar me keep it up

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *