jab tammanna phool si khil jayagi
tab koi payari gazal ban jayagi
ho bhalayi ka tassavoor zahan main
ye zameen jannat tabhi ban payagi khushbuain ho jab fiza main payar ki
her kali phir phool ban khil jayagi aankh se annsu uthaker pijiye
phir dilo ki durian mit jayagi
apne derwaze se kundi khol de
padosion ki khidkiyan khul jayagi gair ke gam ko tu apna jaan le
khak-a dunia main bahar aa jayagi
Author : Preet….
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Comments 1
Hi Preet,
hope u r well, listne this is a very beautifull
ghazal u have posted,i like it !!! Thanks a lot!!