Tanha si zindzgi me tanha hai har rasta ,
dosto yaaro se jaise toota ho vasta,
sabhi hain saath par najane kiski kami hai,
itni khushiyo me najane kaisi gami hai.
Kyo patjhad me sawan ka deedar karta hoon,
kyo har ghadi sirf tera intezaar karta hoon,
tu kaun hai kaha hai, is sab se anjaan hoon,
kya teri tarah ,main bhi tera armaan hoon.
Tu na aa ,magar aane ka vada to kar,
meri andheri zindagi me thoda ujala to kar,
teri aas me najane kab se nahi soya,
teri yaad me najane kitni raate roya,
ab apni khushi se mera gam aadha to kar,
tu na aa magar aane ka vada to kar………….
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Comments 20
Awesome collection of heart touching linews u have….!! its a gr8 feeling to b here wid u….:)
barbaad hi karna tha to aur b raaste the bahut….
na jane unhe mahobbat ka hi khyal kyon aaya……….
Hemant
Yeh kya kichari banaadi hai?
Koi theek dimagh se to aise nahi
karega,kya khayal hai?
===============================
khalid.m@hotmail.co.uk
===============================
all those words are really fabulous. Par un sab me ek khasiyat hai ye wahi samajh sakte hain jinho ne kabhi mohabbat ki ho aur unki mohabbat ne unka dil toda ho….
DO U GUYS KNOW WHAT IS LOVE…..
Its when someone break ur heart in love and u still love the person with all those broken pieces with same intensity….
Nice Msg”S mwah
Zindagi ko naav par bithati hai rotiya,
fir baad me girati hai rotiya,
har shakhs pareshaan raheta rotiyon ke karan,
baap bete maar karte apni biwiyo ke karan,
Ger Tujhe Chordne Ki Soch Bhi Aaye Dil Mein
Hum To Khud Ko Bhi Wahin Chord Diya Kertey Hain
Maza Aa Gya Bohat Acha Likha Hai
Phr Teri Yaad Aaii Phr Zakham Muskuraye
Aa Phr Se Laot Aa, Ke Tujhe Hum Na Bhol Paye
Us Shaam Ko Hai Ab Bi Tera Intzar Humdam
Dil Dhondta Hai Tujh Ko Teri Bazm Ko Sajaye
Wadon Ka Kya Bhrosa Wade To Bas Farebii
Hai Baat Jab Hum Ko Kuch Kar Ke Tuu Dikhaey
Mat Puchh Kya Hall Tha Chahat Ke Bad Apna
Bas Roo Rhe They Sapne, Tere Ghum Mei Muskuraey
Tuu Has Ke Jaa Rha Tha Aaey Dost Wakat-e-Rukhsat
Too Ankh Mei Teri Kyuon Kuch Ashk Jhilmilaye?
Neendon Sey Puchh Lena Un Hasraton Ki Lazt
Jab Pyar Ban Ke…..Mere Khawab Mei Tuu Aaey
dost unhi ko yand rakhe jo aapko siddat se chahta hai
kahte hai
hum na to yado ko yad rakhte hai
na hi sapno ko sath rakhte hai
aap unhi ko yad karo
jo aapko dilon ke pas rakhte hai
Yun Zindgi Ki Rah Mein Majboor Ho Gaye
Itney Huye Qareeb K Hum Door Ho Gaye
Aisa Nahi K Hum Ko Koi Bhi Khushi Nahi
Lakin Ye Zindagi Bhi Koi Zindagi Nahi
Kion Iss K Faisley Humein Manzoor Ho Gaye
Itney Huye Qareeb K Hum Door Ho Gaye
Paya Tumhein To Hum Ko Laga Tum Ko Kho Dia
Hum Dil Pe Roye Aur Ye Dil Hum Pe Ro Dia
Palkon Se Khawab Kion Gire Kion Choor Ho Gaye
Itne Huye Qareeb K Hum Door Ho Gaye
Mohabbat ki Tabiyat mein Agerchey Gham Nahi Hota
Magar Khadsha Judai Ka Ghamon Se Kam Nahi Hota
Zamin Walon Se Ye Keh Ker Falak Se Dhal Gaya Suraj
Ujala Bant Deney Se Ujala Kam Nahi Hota
nice shayaris dost
wananabu keep it up
dil diya pyaar ki hadh thi jaan diya aitbaar ki hadh th
mar gaye khuli rahi aankhen,yw humaare intezaar ki hadh thi
wow”’that person must really be lucky
jis ke liye itna intazzar kash koi hamaara bhi itna intazaar karta
dil diya pyaar ki had thi
jaan diya aitbaar ki ad thi
mar gaye khuli rahi aankhen
ye humaare intezaar ki had thi
shayad hi kabhi me is raaste se guzarta..
mere tarah jeenevale ajnabi dosto se milta..
zindgi bahot choti hai yaaro aur waqt bahot zyada,
mulaquat bhale naa ho kabhi par aapki taarif koi chaar liana zarur likhta…
gud collection of shayaris..
i av no intention 2 copy as i already av my inspiration..
in any case continue with the good work.
Asta La Vista..
hi,
it’s nice poem and nice sms in this site.
HI,
nice shayari,
Phulon se khushbu chura nahi sakte,
Suraj ki roshani chupa nahi sakte,
Kitne bhi dur ho lekina doston,
Tumhari a dosti hum bhula nahi sakte…!!!!!!!!!!!
shayeris bohot achi hai!!!!
jab hume unse beinteha mohabbat thi
tab unhe humaari mohabbat par shak tha
jab unhe humaari mohabbat ka ehsaas hua tab hum par kisi aur ka haq tha
Its touching poem. very nice.