Ek Paagal ladki thi

Ek pyaar se bhara dil tha
jiske armaano ko palko par sajaya karti thi
ek masoom si ladki thi.
mohabbat ke khwaab dekha karti thi..

Ek chehra banakar khayalon mein
phir us chehre ko bheed mein dhoonda karti thi.
kaisi paagal ladki thi
ek khayal ko dhunda karti thi..

RelatedPosts

Aksar banati ret ke mehal saahilon par
phir un mehalon mein ghar apna basaya karti thi.
kaisi naadan ladki thi
saahil ki mitti se ghar banaya karti thi..

Kai baar dekha use phulon se baatein karte
kuch keh kar unke kaano mein
khud hi sharmaaya karti thi..
kaisi ek ladki thi
phulon se bhi sharmaaya karti thi..

Likh kar hatheli par koi naam hamesha
phir us naam ko mitaya karti thi
shayad naasamajh hi thi
dil par likha tha jo,
use haathon se mitaya karti thi

Jaane kahan kho gayi wo
abto aksar aaine mein dhunda karti hun
wo ladki jo aaina dekh
bewajaah muskuraya karti thi..
banakar ajeeb se chehre
sabko hasaya karti thi..
badi ajeeb ladki thi..
har kisi ko sataya karti thi..

Mohabbat ne hi tod diye
uske sab armaan
jinhe wo bade pyaar se
palkon pe sajaya karti thi.
shayad duniya bhi bhul jaye usse
par waqt na bhula payeega
ki ek masoom si ladki thi
khawaabon ke seher mein raha karti thi..!!!!!!!!!!!!

author avatar
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe, Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 24

  1. Ravi singh says:

    Aakpa is kadar shabdoon ko bayan karna dil ko choo jaata hai.
    Aur isi tarah aap likthe rage Bas yahi mera dil chahta hai

  2. mayank says:

    aapki shayari to mere dil ko choo gayin

  3. geet says:

    tanhai me v apne sath ka ehsaas karti ho
    har pal sabko ek naya khawab dikhati ho
    un khawabo ko pura karne k liye
    apni raaho ko raoshan karne k liye
    ek manzil sabko dikhlati ho
    aisi ho tum jo sabko har pal jeena sikhati ho

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *