Kya Isi Ko Tum Sapno Ka Bharat Batate Ho

is dharti par paida hokar bhi kyu tum videsho me jaakar bas jaate ho,
apne desh ko bhoolkar angrezo ki seva karaate ho,
kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho.

gandhi,subhash ne dilai azzadi humko fir bhi alexander ko great batate ho,
shahjahan ne banaya taj mahal to kyu statue of liberty ko dekhte reh jaate ho,
kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho.

baal hanuman tha sabse pyaara fir kyu harry porter ko sunder batate ho,
angrezi school me padkar hindi bolne se lajjit ho jate ho,
kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho.

mana desh ke neta chor hai par tum khud ko kyu baimaan banaate ho,
kyu tum garibo ko maarkar ameero ke pair chaatte ho,
kya isi ko tum sapno ka bharat batate ho.

tum shakespeare ke noble ko shreshth batate ho
kya rabrindanath ki kavitao me koi khoth paate ho,
jab kayi mahapurush hai hamaare paas to kyu james bond ke gun gaate ho,
gandhi,subhash,nehru,bhagat ne dekha tha ek sapna azaad bharat ka to
kyu ise partantra banate ho


kaun dega fir se kurbani jab tum hi angrezi ke gun gaate ho,
kya isi ko tum sapno ka bharat bataate ho.

RelatedPosts

by: Abhishek

author avatar
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe, Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 7

  1. aakash.b.tiwari says:

    Very nice abhishek bhaiAgar aisi soch sare desh k logo ki ho jaaye toh bharat desh kahase kaha pohoch jaaye

  2. Devanshu says:

    Apne abhishek bhai hme hmari rashtriyeta aur rashtriye bhasa ke bre me btaya.dhanyawaad.bht achha lga ye katakshya sum kr,pr aap hi dkhye apke shrota me se aadhe se jade angreaz ke nazayaz aulad hai.sale cmmnts bhi english me deta hai….!

  3. Meetusha says:

    a good one n appriciable GREAT……

  4. abhey says:

    very nice abhishek bhai

  5. avinash says:

    really a apreciable n heart touchin one!!!!!!!!
    great …………… keep it up

  6. yash sri says:

    really a good thought..
    we must appreciate it..
    actually it is the fact that we are leaving our values n culture..
    hme is bare me sochna chahiye aur apni bhasha k liye to kam se kam ye nahi kahna chahiye ki hme hindi nahi aati ye hmari rastriya bhasha hai .. aur har ek ko ye bhasha aani chahiye aur ise bolne me koi sharm nahi honi chahiye..
    jai hind..

  7. Mehul says:

    Sirf apni dharti ko apni Mitty ko hum buzrugon ki shaan kahte hi
    Jis me khilte hi har taraah ke phool – Vusko HINDUSTAN kate hi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *