Fir se ek baar dil me tera hone ki tamanna hai
Tumhare hi khayalo’n me khone ki tamanna hai
Muddat se in aankho’n me tarawish nahi jhalki,
Aakar fir se rula jao, ke fir rone ki tamanna hai
…
Fir is dil-a-nada’n me, dard ki hawas jaagi hai,
Tasbeeh-a-hayat me azeeyat pirone ki tamanna hai
Khuda ka wasta, tum mujhpe koi reham na karna,
Fir dil ko ghamo’n ka bojh dhone ki tamanna hai
Main hansta khelta aayine ko bhi achha nahi lagta,
Aankho’n ko ashko’n se ab bhigone ki tamanna hai
Humare dil se fir khelo aur fir todkar chal do Karan,
Gar tumko apne is pasandida khilone ki tamanna hai
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Comments 3
Uski har mehfil me raunak ho,us ki har khusi me khuda ki raza ho,wo mujhe vulne ki dua kare, uski ye dua bhi qabool ho..
Bahut khub kalam likha hai. Shukeria.
na samajh tha me jo tera aitbar kiya, har lamhe har pal me tujhe yaad kiya, tu na ayegi ye pata tha mujhe fir b jane kiyu tera intezar kiya he, tanhai me beitha sochta hu maine aisa kya gunah kiya jo tu mujh se juda huyi… ek teri hi khwaish he mujhe ab is jahaan me, ab to aaja tu kahi se ek arrsey se mene tera intezar kiya he…