Bichhda Hai Ek Baar To Milte Nahin Dekha
Is Zakhm Ko Hamne Kabhi Silte Nahin Dekha
Ik Baar Jise Chaat Gayi Dhoop Ki Khwaahish
Phir Shaakh Pe Us Phool Ko Khilte Nahin Dekha
Yakhlakht Gira Hai To Jadein Nikal Aayien
Jis Ped Ko Aandhi Mein Bhi Hilte Nahin Dekha
Kaanton Mein Ghire Phool Ko Choom Aayegi Lekin
Titli Ke Paron Ko Kabhi Chhilte Nahin Dekha
Kis Tarah Meri Rooh Har Kar Gaya Aakhir
Woh Zeher Jise Jism Mein Khilte Nahin Dekha
Mehul
Dil ne ham se jo kaha, ham ne vaisa hi kiya
phir kabhi furasat se sochenge, bura tha ya bhala
zindagi khwaab hai...
Comments 2
inn annkhon ko chahiye tera deedar aaj bhi
Kambakht Dil h tere liye bekaraar aaj bhi
Jaanta hu tum na aaoge wapas laut k
Magar mujhko tera intzaar h aaj bhi
Laakh koshishon k baavajud tum na gaye iss dil se
Shayad ise h tumse pyaar aaj bhi
Nahi mangta me kuch aur upar wale se
Har khushi se h mujhe inkaar aaj bhi
Thukraye hain falsafe kai iss jahan k
tere liye sab kuchh h nisaar aaj bhi
Nami inn nigahon se jati nahi ye sochkar
K mere liye h tera inkaar aaj bhi
Khaabon me hi sahi,ik baar to aao
Mujhko h pal pal tera intzaar aaj bhi
Na kam hua h,naa kabhi hoga kam
Iss dil se tere liye pyaar ab kabhi…
Dard,e dil