Benaam Sa Ye Dard

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai, Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata

RelatedPosts

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata

Main Apni Hi Uljhi Hui, Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata

Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata”

By: Nafees khan

author avatar
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe, Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 3

  1. monika says:

    i realy enjoy it . it is very good shayari

  2. Rajesh Sharma says:

    gam-e-ulfat main hum had se gujar gaye,
    ki unke isqe main hum deewane ban gaye,
    humne to sunai thi apni daastain-e-dil unko,
    vo zalim samjhe gazal aur wah wah kar gaye

  3. Sweet says:

    Hey nice poem yaar, kafi poems hain jo main is website main nahi parhi, ab se shuro ho jati hoon lol take care Sweet Na

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *