Kabhi Zamee To Kabhi Aasma Samajh Me Nahi Aata,
Is Dil Ka Thikana Bhi Samajh Me Nahi Aata,
Meri Aankhe Uski Yado Ka Chiraag To Nahi,
Kyu Aaye Sirf Wo Hi Nazar Samajh Nahi Aata,
Chahe-anchahe Me Use Yaad Kiya Karta Hu,
Ye Aadat Hai Ya Jarurat Samajh Nahi Aata,
Mohbbat Ne Jina Haram Kar Diya,
Use Bhulu Ya Apni Jaan Du Samajh Me Nahi Aata,
Pagal Sa Bankar Rah Gaya Kuch Soch-soch Kar,
Pahle Hasu Ya Rou Samajh Nahi Aata,
Uski Wafaa Par Ab Mujhe Shak Hone Laga Hai,
Use Yaar Kahu Ya Gaddar Samajh Nahi Aata. ..
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Comments 5
tum jo samajh nahi sakte Wo ek pyara sa ehsaas hai, dil unse alag to hona chata hai par ho nahi pata Isi ka naam to pyar hai.
unhe hume pyar me chahe kitne bhi dard diye ho Par aaj bhi dil unke hoto par hasi dekna chata hai Bus yahi to dil se pyar nibahe ka naam hai.
@AYESHA
Ha Shayad Mein Unhe Samaj na Paya,
Magar Pyaar Soch samaj kar kiya nahi jaata,
Me unki Us muskurahat Ki yaad Me saari Jindagi Ji sakta Hu ,
Magar Unka Woh Udaas chehra Jab Hum saalo baad mile Woh mujhe jeene nahi deta aur mujhe Yeh pyaar hai ya aur kuch Samaj nahi aata
apki shaeri hi muje samajh nahi aati ap usse pyaar karte ho ya nafrat samjh nahi ata. ap usse pana chahate hai ya khona samajh me nahi ata.ap khud nahi jante apko kya pana hai aur kya khona aur shari likhte hai samajh nahi ata. ap jab dusro ko nahi samjha sake to usse kya samjhaoge.
Ek Aandhi Ladki Thi Jise Subne Thukraya,
Sivay….Uske Dost Ke..,
Wo use Bahot Chahta Thaa Ladki Roz Kahti thi Ager mai tumhe dekh sakti to tumhi se sadi karti,
Ek din kisi ne us ladki ko apni aankhen Gift Me De di ..,
Jub Ladki ne us dost ko dekha to wo Andha Thaa .
Ladke ne poonchha kya tum ab mujhse saadi karogi,
to ladki ne INKAR kar diya,
Ladka Chupke Se Muskuraya ,
our usko
Ek letter de ker chala gaya
Usme likha thaa ….
PLEASE TAKE CARE OF MY EYES>
I LOVE YOU>>>>
jis shakhsh ne ye shayeri likhi hai hum uske teh dil se shukrguzaar hain,kyon ki in sahab ne meri mohabbat-e-dastaan apni shayeri me zahir ker di.
Apka Humnawaz
SHARAD SRIVASTAVA