Jaane Kyun Wo Saanso Ki Dor Tootne Nahi Deta
Bas Do Kadam Aur Chalne Ka Waasta Dekar Mujhe Rukne Nahi Deta
Baat Kehta Hai Wo Mujhse Hans Hans Kar Jee Lene Ki
Ajeeb Shakhs Hai Mujhko Chain Se Rone Nahi Deta
Aaj Hausla Deta Hai Mujhe Chaand Sitaro Ko Chhu Lene Ka
Wo Pyara Sa Chehra Mujhe Tootkar Bikharne Nahi Deta
Shayad Jaanta Hai Wo Bhi In Aankhon Men Aansuo Ka Sailaab Hai
Jaane Kyun Fir Bhi Wo In Aansuo Ko Girne Nahi Deta
Mujhse Kehta Hai, “Main To Mar Jaunga Tumhare Bina”
Main Zinda Hun Ab Tak Ke Wo Mujhe Merne Nahi Deta
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Comments 2
achcha likhte hain aap.
dil ko chhu lete hain aapke alfaj
I loved your Poem.it is wonderful.