Ek Main Bhi Tanha The Sau Me Bhi Akele Hai

Zindagi Ki Raahon Mein Ranj-O-Gham Ke Mele Hein
Bheer Hey Qayamat Ki Phir Bhi Hum Akailey Hein

Sazishein Zamaney Ki Kaam Ker Gain Aakhir
Aap Hein Udher Tanha Hum Idher Akailey Hein

RelatedPosts

Bheer Hey Qayamat Ki Phir Bhi Hum Akailey Hein

Ab To Apna Saya Bhi Kho Gaya Andheron Mein
Aap Se Bichar Ker Hum Kis Kadar Akailey Hein

Kon Kis Ka Sathi Hey Hum To Gham Ki Manzil Mein
Pehley Bhi Akailey They Aaj Bhi Akailey Hein

Aainey Ke Soo Tukrey Ker Ke Hum Ne Dekhey Hein
Aik Mein Bhi Tanha They Soo Mein Bhi Akailey Hein

Bheer Hey Qayamat Ki Phir Bhi Hum Akailey Hein
Zindagi Ki Raahon Mein Ranj-O-Gham Ke Mele Hein

Paas Hey Sawa Jiskey Eik Na Ik Haseen Katil
Justiju Mein Katil Ke Siraf Hum Akailey Hein

Bheer Hey Qayamat Ki Phir Bhi Hum Akailey Hein
Zindagi Ki Rahoon Mein Ranj-O-Gham Ke Mele Hein

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 4

  1. amar.radhe says:

    aapki shayari bahut achhi hai.
    thank u..

  2. mumtaz says:

    love shayari very much

  3. mumtaz says:

    i like shayari very much

  4. NAMITA says:

    I MISS YOU

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *